Salwat ul Tasbeeh
Salawat ul tasbeeh Bohat He Fazeelat Wali Nimaaz Hay Is Nimaaz Ko Banda Rozana Parhe Agar Rozana Na PArh Sake To Haftay Main Aik martba Her Haftay na Parh Sake To Her Maah Aik Martba Parhe Agar Yeh Bhi Mumkin Na Ho To saal Main Aik daffa APrh LEin Warna Apni zindagi Main Aik martba Zarur parhni Chaiye
Agar Saal Main Aik Daffa Parhe To Mah E Ramdan ul Mubarak Baroz jumma Nimaz E Zohat Se Qabal PArhni Afzal Hay
Tarkeeb Salwat ul Tasbee
Tasbee Nimaz parhne ka tarqqa
4 RakaatNimaz Aik Salam Se parhe mean Ashad un {LaIalaha } kharay ho jayein Dadrod shareef nahi perhni is trah aik Salam se yeh nimaz 4 rakaat per mushtamail ho gi.
Takbeer E Tehreema k baad Sana'a parhe sana k baad yeh kalma 15 bar parhein
"SUBHAN'NALLAHE WALHAMDULIL'LAHE WALAILAHA IL'LAL'LAHO'AKBAR"
phir tauz aur tasmia parhe aurfateha parhe phir sura {Surah Koi Bhi jo Zubani yaad ho Jaise 1st Rakat main Surah Kausar} perh ker dus baar yehi kalma parhe phir raoo mein ja ker rakoo ki tasbee k baad yeh kalma parhe dus baar phir rakoo se uth ker Tasmee o tamheed perhne baad 10 baar yehi kalma parhe phir sajday mein ja ker sajday ki tasbee k baad 10 baar yehi kalma parhe pir uth ker jalsay ki halat mein 10 baar yehi kalma parhe phir sajday mein ja ker sajday ki tasbee k baad yehi kalma 10 baar parhe phir dusri rakaat meein Surah fateha {alhamd shareef se qabal 15 baar yehikalma parhe mean her rakaat mein alhamd shareef se qabal 15 baar aur waise 10 baar Aur her Alhamdulilah k baad Makhsoos kalimat parhen k baad apa ne Mukhtalif surah parhni hay jaise 1st rakat main surah kausar aprh li,2nd main Surah tajkasur,3rd main surah qadar,4th main surah akhlas ya jo ap ko yad ho surah akhlas he nahi aprhte jana
phir isi trah se 4 raakaat parhni hain
umeed hay smajh a agayi ho gy
HADAYAAT
in kalimaat ko aap ungliyon per shumar ker skate hain magar is trah k jab aap raku ki halat mein hon to aap k hath ghutnon epr lazman hon aur whain aap ghuthnon per hath dharay ungliyon per shumar kar skate hain aur qayam ki halat mean kharay hone k baad alhamd sharef se pehle seenay per hath bandhe hue he ungliyon ki poron epr shumar kerna hai
=========================================
Degaar Wazaif
Salam-o-Alaykum
Hazur E Akram S.A.W. ne Irshad Farmaya
Jo Shakhs Shab E Qadar Mai 2 Rakaat Nimaz parhe Her Rakat Mai Alhamdulilah Aik Bar Qul Hu Allah 7 Martba bad Nimaz
ASTAGFIR ALLAH ZE LA ILAHA IL'LALLAH HUWAL HAYUL QAYUM WATUBU ALEEYH
70 martba Parhe to Ye apne Masale Se na uthe ga k Allah Tala us k aur us k Walidain ki magfirat farma dai Ga (subhan Allah)
Aur Farishto ko Hukam hoga k us k lye Janat Mai Darakht Lagate rahe Ye parhne wala jb tak apni ankh se khawab mai na Daikh le un Ko Maut Waqiya Na Ho Gi(Subhan Allah)
____________________________________________________
Hazur E Akram S.A.W. ne Irshad Farmaya
Jo Koi 27 Ramdan Ko 4 Rakat Parhe Nimaz Her Rakaat Mai Bad Alhamdulilah K Ina Anzalna 3 Martba Aur Qul Hu Allah 50 martba Parhe Aur Bad Nimaz Sajday Mai Ja K Aik Martba
SUBHAN ALLAHE WALHAMDULILAHE WALAILAHA IL'LALLAH WALLAH HO AKBAR parhe Bad us k jo Dua Mange qabul Ho Gi Aur Ata Kare Ga Allah Tala us ko Be Inteha Naimat Aur us k Gunah bakhsh Dye Jain Gain SUBHAN ALLAH
Ab ijazat dijiye
Take Care
Remember Me & My Family Specialy My Mother in Ur Prayers
Fi aman ALLAH