Zindagi ki khawahish main,
ek benaam se manzil per,
chalti hue ye Larkiyaan,
Kya janaeeN,
ye raasta unheen kahan tak le jae ga,
waqt ka pahiya jab achanak beraham ho jaae ga,
wafa ka waada kerne waala bewafa kehlaae ga,
chahat ka daawa kerne waala,
tum ko dooshi tahraae ga,
tab khulay gi ek haqeqat,
ye duniya mardooN ki hai,
raaj chalta hai chaar soo inka,
Qoom hamaari hai bebus,
Dekho tu larki,
ghoor karo,
tum hi kyoon majboor bano,
zalimoon k zulm saho,
kyoon tum ne banaya khud ko bequs,
Lachaar,
majboor aur bebus,
kyoon ansooN hain taqdeer tumhari,
kyoon khushiyaan tum se rooth gae hain,
kyoon Aurat hi hai wafa ki dewi,
kyoon iske zimAay hi qurbani,
SHAYAD...
barsoon se esa hi hota aya hai,
sadiyoon tak esa hi hota jae ga,
ek na ek din her jhoota bharam toot hi jaae ga,
haath pakar ker chalne wala jab dhooka de jaae ga,
ye rasta sirf aur sirf MAUT tak le jaae ga,
phir tum soocho gi,
ghabrao gi,
roo lo gi,
pachtaao gi,
SUNO LARKI,
gaar tum bachna chahti ho,
zinda rehna chahti ho,
apnay qadam wapis le lo,
ab bhi waqt hai laoot aao,
laoot aao tum laoot aao.........