dUniya meiN hOn dUniya Ka Talabgaar nahien hOn
Baazaar Sey gUzra hOn Khareedaar nahieN hOn



Zinda hOn Magar Zeest Ki Lazzat nahieN Baaqii
Har Chand Keh hOn hOsh mieN hOshiyaar nahieN hOn



Is Khaana e Hasti Sey gUzar jaaoN Ga Be lOuss
Saaya hOn Faqat Naqsh e Dewaar nahieN hOn



AfsUrda hOn Ibrat Sey Dawa Ki nahieN Haajat
Gham Ka mUjhey Yeh zOuf hAi Beemaar nahieN hOn



wO gUll hOn KhizaaN Ney Jisey Barbaad Kiya hAi
UljhOoN Kisi Daman Sey maiN wO Khaar nahieN hOn



Ya RAB mUjhey MahfOoz Rakh Us But Key Sitam Sey
maiN Us Ki Inaayet Ka Talabgaar nahieN hOn



AfsUrdagii o jOur Ka Kuch Had nahieN Akbar
Kaafir Key mUqabil mieN Bhi Deen_daar nahieN hOn