Mujh se pehlay tujhe jis shakhs ne chaha us ne
Shaiyad ab bhi tera gham dil se laga rakha ho
aik benaam si umeed pe ab bhi shaiyad
Apne khwaboon key jazeron ko saja rakah ho
Main ne mana key wo be-gana-e paiyman-e- wafa
kho chuka hai jo kisi aur ki ranaiye main
shaiyad key ab laut key aiye na teri mahfil main
aur koi dukh na rulaiye tujhe tanhai main
Mian ne mana key shab-o- rooz key hangamon main
waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta
chahiye umeed ki shamayen hon key yadoon key chiragh
mustaqil-e-bood bujha deta hai rafta rafta
Phir bhi mazi ka khiyal ata hai gahey gahye
mudateen dard ki lo kam to nahi kar sakteen
zakham bhar jaiyen magar dagh to rah jata hai
duriyon se kabhi yadeen to nahi mar sakteen
ye bhi mumkin hai key aik din wo pasheman ho kar
tere pass aiye zamane se kinara kar laiye
tu key masoom bhi hai zood faramosh bhi hai
us ki peman shikani ko bhi gawara kar laiye
Aur main jis ne tujhe apna maseha samjha
aik zakhm aur bhi pahley ki tarah sah jaoon
jis pe pahley bhi kai ahd-e-wafa totey hain
isi dorahey pe chup chap khara rah jaoon.