-
Adhoori hai zindagi
ADHOORI HAI ZINDAGI
tum ashk ho tu meray dukhoun ka elaaj ho
tum khawaab ho to meri in aankhon main ho kahen
tum taazgi ho shabnami pholon ki aas ho
tum weham ho tu mujhko haqeqat se kia garz
tum ba'es-e-safar ho hunar ki uraan ho
tum neend ho tu so k gozarain gain ye hayaat
tum husn ho tu meray takhaiul ki jaan ho
tum raat ho tu mujhko nahi subh ki talab
tum noor ban k dil main samaey ho aaj kal
tum khaak ho tu khaak nasheno ki ho talaash
tum dard ho tu rooh pe chaaey ho aaj kal
tum dasht ho tu main bhe musafir hon dasht ka
tum chaand ho tu talkh andheroun ki fikr kia
tum be-nayaaz ho tu zamanay se ho alag
tum rang ho tu pher ye baharoun ka zikr kia
tum be-samar rutoun main baharon ki ho umeed
tum rah-gozar-e- shouq main jazba junoo'n ka ho
tum aarzo ho ehl-e-tamanna ki ho khalish
tum ratjagoun ki bheer main lamha sakon ka ho
tum bewafa ruton main hawala ho ishq ka
tum bebasi ho pher bhe muheet-e-hawaas ho
tum ek kiran ho noor-e-azal main dhuli hoe
tum taazgi ho shabnami pholon ki aas ho
tum gehray panioun main chopay motioun ka lams
tu mout k safar main nishan-e-hayaat ho
tum meri chashm-e-nam k sitaron ki kehkashan
tum husn-e-bemisaal meri kaaenaat ho
tum jab se ho gaey ho meri dastaras se door
main jee raha hon keun k zarori hai zindagi
saanso k boujh ko bhe uthaya hai rooh ne
lekin teray baghair adhori hai zindagi
Last edited by shaan; 01-09-2009 at 04:12 AM.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules