umdaa
dekh kar ye majra us ka dil pighal gaya
jab wafa ke rang me mera wajud dhal gaya
girgit me aur tujh me hai kis qadar mumasilat
abhi tha ek rang tera aur abhi badal gaya
mana ke qaak ho gaya meri wafa ka mahal
meri nazar ki barq se tera ghar bhi jal gaya
buzurgon ki duaon se faiz ye mila mujhe
mere paas aane wala hadsa bhi tal gaya
aadmi usi ko kehte hain jahan me
`ladkhada ke jo gira gir ke phir sambhal gaya `
umdaa
nice shirng