Shab-e-Ghum Mein Tanhae Ki Mehfil Sajate Rahay
Raat Bhar Taaray Bhi Humay Aap Biti Sunatay Rahay

Kuch Meri Jaise Kahani Thee Chaand Ki Bhi
Aur Chandni Ki Loh Mein Hum Dil Jalate Rahay

Tham See Gaye Thee Fizaien Bhee Humay Dekh Kar
Nagma Ghum Ka Sehar Tak Hum Gungunate Rahay

Bahut Sonna Sonna Tha Dar-o-Diwaar Ghar Ka
Yoonh to Jugnu Bhi Aas Paas Timm-Timate Rahay

Khamoshi Bhi Cheek Pari The Raat Ke Sanatay Mein
Jaane Kis Ko Hum Apna Kissa Sunatay Rahay

Kaun Tha Pehlu Mein Meray Aakhir-e-Shab Tak
Kis Kay Aansoo Meray Daman Pe Aatay Rahay!