koy pyaar aur khalos us waqt tak mukamal nahin ho sakta...
jab tak us ki bunyad atmaad par na ho...aisa mahsos hota hay...k atmaad ki faza ahista ahista dam tor rahi hay...
Aur be yakini ki aandhiyan chal pari hain...in aandhiyon ki gard se aankheen chuban se band ho rahi hain...be yakinii ki is faza main saans lena bhi dushwar hay...
Atmaad ka sahara nahin raha....To zindagi apne hi bojh tale dabti ja rahi hay...kaash. ..
is se pahly k zindagi be yakinii k sehra main dab jaye...koy to ho jo humey atmaad ka sahara de kar aur pyaar ki lathi pakra kar is daldal se bahir le aye...
kaash aisa ho ....kaaash aisa ho jaye!!!