Waqt bari zalim aur sfaaq shay ka name hay...
waqt ki gardish insaan ko kisi pal chain naheen lene deti...balke waqt insaan k har sukh main dukh ka lamha ban kar achanak a jata hay...aur woh insaan jo chand lamhe pahly khushiyon aur musarton k handwaly main jhool raha hota hay...yeh dekh kar tarap jata hay.....k yeh zalim waqt us ki latehedad
khuwahishaat ko apne qadmon tally rondta huwa age barh raha hay...waqt ajeeb shay hay...k agar koy insaan khushi ka tasawar karta hay......... to waqt usse ghami se humkinar karta chala jata hay...us ko kisi ki khushi se ya ghami se koy wasta naheen.....woh bari khubsorti se apna farz nibhata hay.....waqt ko koy ahsaas naheen hota woh khamoshi se age bartha rahta hay....waqt kisi ko milata hay kisi ko juda karta hay....waqt kisi ki dunya ko rangeen aur khubsorat banata hay.....aur kisi k armanoon ko andheroon ka muqadar bana deta hay...
waqt ki ghariyoon main insaan to bilkul paband salasal ho kar rah gaya hay....
koy yeh to batay k akhir waqt itni zalim shay kyun hay.....?