AZMA KAR DEKHENGE
Ek baar tumko ko yun hi bhula kar dekhenge
Mushqil hoga jeena, par azma kar dekhenge
Zuda hokar mar jayenge yeh durr hai phir bhi
Ek baar khudko tujhse zuda ho kar dekhenge
Tere bin padega bhatakna toh yehi sahi
Hum tumse alag apna rasta bana kar dekhenge
Usko sanam banaya toh kuch haasil nahi hua
Kya bigadta hai, ab usse buut bana kar dekhenge
Tere bahon mein ek raat ko sadiyon taras gaye
Ab jo mili hai yeh raat, to usse gawa kar dekhenge
Is uthtey hue toofan mein kuch bhi na bache shayad
Phir bhi Kachee mitti ka hum ghar banakar dekhenge
Hur baar tere dar pe sir jhukar teri pooja ki hai
Ab tumse bagawat mein sir utha kar dekhenege
Gum ki yeh andhi hai, chiragon ko nahi jalne degi
Hum phir bhi ek umeed ka Deepak jala kar dekhenge