Zindgi gar chund teherey huye palon ki kahaani hoti,Phir her kahaani suhaani hoti…Zindgi ka ehsaas tabhi hota hai jub khud ko zinda mehsus kare koii..Aur zinda hone ka ehsaas tabhi hota hai jub zindgi ki koi tahreek mahu-e-zindgi rakhe….warna mahu-e-khayaal ko zinda tassavur nahi kiya jaa sakta…khayaal khwaab ki dane hain..aur khwab hasrathon ka adhura safar taye kartey hain…bas wahin se ek kahani janam leti hai..ek dil jo zindgi jeena chahta ho jo uske dastaras may nahi..vo khwabon ke peeche chal padhta hai..un lamhon may apni arzu ji leta hai..

Log kehte hain khwab koshishon ka buniyaadi juz hote hain…jub tak khwab nahi hongey unhen pane ki jadojahad bhi nahi hogi..magar kuch khwab adhure hi khubsurat hote hain..kyonki vo aankhen jo adhure khwabon se hi mutmayeen hojaati hain vo jaanti hain apne khwabon ki haqeeqat…unki takmil ki khahish aur khwabon ke darmyaan ek haseen faseel khadi karke khud ko dayra-e-zabt may muhith kar lete hain.ye vo dil hain jo apni haden pehchaante hain.ye vo dil hain jo apna anjaam jante hain…ye vo dil hain jo apna inaam jaante hain…


Jahaan kisi ka khwabon may basera hota hai uska her daur sunehra hota hai…duniya-o-mafeha se bekhabar apne khwabon ki nazar hojaata hai…khwab haqeeqaton may dhalne lagte hain aur haqeeqaten khwaab si lagne lagti hain..waqt khwabon may simat kar apni chaal bhul jaata hai ..wahin unhi teherey huye palon may koi daastaan banney lagti hai…khwaab apni shiddat rakhte hain..haqeqaton ko khud may lapet lete hain..aur haqeeqaten faramosh kar di jaati hain..aur khwab junun may badalne lagte hain.


In Khwabon ki koi manzil nahi hoti..inki tabir ka koi khwaab nahi hota…ke vo dil jaante hain apni khahish ka anjaam….magar ek aisi duniya bana lete hain ye jahaan sab kuch unki arzu ka aks sa hota hai..aur ye deewangi nasha hojati hai…aur ye nasha zindgi ko shadaab karne lagta hai….vo nasha jo khayal se khwab tak ke safar ka haasil ho…derpaa nahi hota…jub tut-ta hai tou phir pairon tale zameen tak nahi ****ta….dono suraton may khwab zakhmi hojaate hain…sisakte huye pal apni nadanion per khul kar ro bhi nahi paate….ansuvon ka bhi haq nahi hota…badi be-basi hoti hai..halaath,jazbaat ,sirf sadmaath may dhal kar reh jaate hain….



Nafsiyaati hamla hota hai un naazuk palon per jo teher kar bhi teher nahi paatey…vo hurf-e-ghalth ki tarha mitaa diye jaate hain un zehnon se jo apni safaii may kuch kehne ka mauqa haasil nahi kar paatey…apni safaii ke liye tayaar kurda daleelen khokli lagne lagti hain…kahaan ghalath hain hum…arzu gunaah nahi..khwaab jurm nahi…hasraton ki koi saza nahi…haan ye khud feramoshi ka hi kamaal hai..in sunnaton may,in khamosh palon may in be-hiss lamhon may….Kuch bhi tou apna nahi lagta..na khwab na haqeeqat…………..

By Chaand