Tumhain mantar batati hoonMain
Aaj ek raaz say pardah uthati hoon
Tumhain mantar batati hoon
Woh mantar jo diloon ko phir say baham jord daita hai
Kayi khoye howay lamhoon ko wapis mord deta hai
Kaheen apnay hi nakhun say lagay zakhmoon ka marham hai
Yeh jeewan ki musafat say thakkay haaron ka zam zam hai
Umr ka koi sang-e-meel ho ya pehli manzil ho
Yeh mantar khol deta hai diloon kay band rastoon ko
Traffic bandhay kay saray signal tord deta hai.
Yeh sarbasta mohabbat kay isharay khol deta hai.
Uroos-e-nu ki manind yeh sajta sanwarta hai.
Yeh phir khoyi mohabbat ki nayi tehreer likhta hai.
Rafeeqa zindagi ki ho ya ho saathi zindagi bhar ka
Kaho usko keh har zi rouh hai mohtaj mantar ka.
Woh mantar teen lafzoon ka ho ya
Woh paanch lafzoon ka
Sirf aik baar kehna hai
Kabhi duo baar kehna hai
Kabhi kehtay hi rehna hai
Mujhay tum sayTumhi say,
Sirf tum say,
aur bas tum say mohabbat hai.
Mujhay tum say mohabbat hai
Mujhay tum se mohabat hai
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
ZABURDAST maza aagaya
Wah Zabardast
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
ahan
nice
umda
Zabardast
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
Dohratay raho jis ko ban jati hay aadat woh .........
chahay woh muhabbat ho chahay woh ibadat ho .......