Shayad Aisa Hi Hai
duriyon ka dard apni chandni mai sametay chaand dhere dhere darakhton ki aout sai bahar nikal raha hay.Kalam ko haath me pakre kafi dair sai khuch likhne ki koshish mai hun k dil ko sukoon miley magar shayad lafz adhurai hain yan naraz.dono hi waja hosakti hain.menai lafzon ko senchna jo shayad chordia hai khud ko mehdud karliya hai apne honton ko to see hi bethi hun
to kya likhun,rooh ki bechaini kabhi kabhi ankhon me duhaan sa bharjati hai to kasak uthti hai kyun hai yai ?aisi kyun hogayi, hasrat o be-yakeeni mare aadat to nahi.yai mujhme kon abasa hai jisne ehsaas mai duriyon ka safar tanhayion ka saath likhdia,Ashk hai k behtay nahi aur dard hain k kahin nahi jatay,likhai nahi jatai,jese sotay chehre par khuch geelai khuch khushk naksh,haath mai basi gulaab,mathai par khawbon sai uljhai baalon ki latt.aik masoom soch,khushi ki tamanayi,Mager khoj mai umer guzar jay !!! Aik aisi soch k rutt k bujhtai chirag ki luh ko khayal ki taiz aandhiyon sai bachanai ki koshish mai Khud jalti jarahi hun raakh horahi hun mai !!!
Shayad Aisa Hi Hai
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
Aik aisi soch k rutt k bujhtai chirag ki luh ko khayal ki taiz aandhiyon sai bachanai ki koshish mai Khud jalti jarahi hun raakh horahi hun mai !!!
hmmm...
esa karna kitna mushkil hai na...
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
Mohterma Naz, Bahut Khoob. Subhan Allaha. Daad Dene ko alfaz kem per rahen hain. Dil Choo jane aur eyes main nami se mesoos aur rongte khare ker dene wale alfaz. Khuda Kasam Kamaal hai. I hav Naaz for our great Naz. Hats off 2 U. Mujhe Galib and Bahadur sha both yaad aa rahen hain. Please gaur phermayen: " Na Kisiki Aankh Ka Noor Huin Na Kisike Dil Ka Karar Huin, Jo Kisi ke Kaam na Aa Sake Main Wo Ek Muste Gubaar Huin. - Jafer . !! " Jala hai Jism to Dil Bhi Jal Gaya Hoga, Kured te ho jo, Ab Raakhe Justjoo Kya Hai, Her Ek Baat Pe Kehte ho Tu ke Tu Kya ho" - Galib... Khuda Hafiz.. RM
Last edited by R. M. Dixit; 14-10-2009 at 07:31 PM. Reason: Corrections