Mohabbat aur izat-e-nafs ka apas mein baraa gehra taluq hota hai, muhabbat sab se pehely izat-e-nafs ko khatam ker daiti hai. Ya banda muhabbat ker le ya
phir apni izzat, haath ki muthi mein dono cheezain ikkhati nahi aa saktin.

Shaid main abhi bhi mature nahi hoyi hon... shaid main kabhi bhi mature nahi ho sakti, ya phir Omer Jehangir woh hudd hai, jahan meri maturity kahtam ho jaati hai, mere hawas kaam kerna chor daitey hain, phir main sirf woh daikhti, woh sunti aur kehti hon jo iss ki khwahish hoti hai. Kia isi kaifiyat ko muhabbat kehtey hain?

Isse apni ankhein dhundali hoti mehsoos hoyi

Aitraf ka lamha azab ka lamha hota hai.

~Amar Bail, Umera Ahmed