khulasa hai ye mere halaat ka
ki apna sb safar hai raat ka
tapish kitni hai maa ke ansuoo mein
ye pani kon si barssaat ka hai
ilahi maut na aye meri tabah hali mein
ye naam hoga ki ghame rozgar sah na saka
gire ga ek patta bhi to cheekh niklegi
ye daal daal ka rishta bahoot purana hai
khushi se apni ruswai gawara ho nahi sakti
garibaan phadta hai tang jab diwana hota hai
main aor aap se iltijaye karam aap se karoo
ye bheek dijyee un use jis ka khuda na hoo
bekhudi shaoq ki aor arz e tammna meri
nahi maloom ki munh se mere kya kya nikla
jazbe ulfaat ke maze kuch kam to aane lage
ponch kar daman se ansu mujh ko smajhane lage