Bhool jaain to aaj behtar hay
Silsilay qurb ke judai kay
Bujh chukeen khwahishon ki qindeelain
Lut chukay shehr aashnai kay
Raigaan saa'aton Se kya lena
Zakham hoon, phool hoon, sitaray hoon
Mosamom ka hisaab kya rakhna
Jis nay jaisay bhi din guzaray hoon
Zindagi say shikayatain kaisi
Ab naheen hain agar gilay thay kabhi
Bhool jaain ke jo hooa so hooa
Bhool jaain ke hum milay thay kabhi
Aksar auqat chahnay per bhi
Fasloon main kami naheen hoti
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti