ALLAH DILON MEI REHTA HAI, JIS BAAT KA SHAK HO WO DIL SAI POOCHO...
Umera Ahmad
Meri Zaat Zarra Be Nishaan
Is Maah Ap ko Iqtibas Share Karna Hai wo bhi Lafz
"Dil" Per ..
hosakey tu writer ka naam ka shamil kardijye ga
na bhi ho tu koi masla nai hia.
Rules :
1 ... Aik member aik he Iqtibas Share Karsakta hai.
2 ... Aik jaise Iqtibas Share Karne per Dosrey Member ka Iqtibas
Polling main shamil Nahi Kiya Jaye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 Nov 09 hai.
Umid hai ache achey Iqtibas Parhne ko miley gai ...
App ki sharing ka Intizar rahey ga.
itna chota
Baaz Dafa Khamoshi Wajood Per Nahi "Dil" Pe Uterti Hai. Phir Is Say Zaida Mukamal , Khoobsorat Or Baa-Maani Guftagoo Koi Or Cheez Nahi Kr Sakti Or Ye Guftagi Insaan Ke Sari Zindagi Ka Hasil Hoti Hai Or Is Guftagi K Baad Aik Dosray Say Kabhi Dobara Kuch Kehna Nahi Parta.
Kuch Kehnay Ke Zaroorat Rehti He Nahi........................!!!!!
La-Hasil , Umaira Ahmed
انسان کا دل کہنے کو تو بہت چھوٹی سی چیز ہے، لیکن اس چھوٹی سی چیز میں بہت کچھ چھپا ہوتا ہے۔ اگر انسان کسی دوسرے انسان سے دل کا حال جان لے تو پتا نہیں کیا ہو جائے۔ اس دل پر کتنی ذمہ داری ہوتی ہے۔ غم کو چھپائے رکھنا، درد کو چھپائے رکھنا، خواہشوں، کسی کی محبت، اپنے جذبات اور اپنی آرزوؤں کو چھپائے رکھنا۔
سمندر میں آنے والے طوفان کا سب کو پتا ہوتا ہے لیکن یہ دل کی خاص ذمہ داری ہے کہ وہ اپنے اندر کے طوفان کو چھپائے رکھے۔ یہ چھوٹے سے دل کی ہی ہمت ہے کہ وہ طوفان کو بھی چھپا لیتا ہے تو پھر ہم یہ کیسے مان لیں کہ یہ چھوٹی سی چیز ہے۔ دل تو بہت بڑی چیز ہے۔
Last edited by Manoos Ajnabi; 01-11-2009 at 07:58 PM.
wooooooooooowwwwwwooo
sab k iqtibasat bohat achay hein..........!
" Us se kehna mere aangan main mosaam mustiqal nahi thehrte' fasle bardh jaiin to diloon k bandhe bandhan kamzoor nahi perte-kabi kabi toot jate hain'''dorioon ka ahsaas dil main jagzeen ho to intizar mar nahi jata' ankhon main munjmind ho jata hai- - bas aankhain mar jati hain"!
Rahat Jabeen..Surkh Gulabon ka mosaam
Fasley ....... Raston Main Hi Achey Lagtey Hain ....... Jaisey Gher Sey College Ya University Ka Fasla ....... Office Ka Fasla ....... Dost K Gher Ka Fasla Waghera Waghera ....... Yeh Fasley Jitney B Zyada Hon ....... Unhain Tey Kerna Mushkil Ho Sakta Hey ....... Namumkin Nahi ....... Lekin Yeh Fasley Dilon K Darmiyan Aa Jayen Tu ....... Zimdagiyan Tabah-o-Barbaad Ho Jati Hain ....... Sab Kuch Jamid Ho Jata Hey ....... Kuch B Acha Nahi Lagta ....... Insaan Aik Doraahey Per Aa Ker Khara Ho Jata Hey .......
Yeh Fasley Dilon Main Garhey Khod Detey Hain ....... Insaan Ka Dil KHali Ho Jata Hey Or KHali Dil Insaan Jee Tu Nahi Sakta Kyonkeh Mar Mar K Jeena Zindagi Nahi Hey ....... Zindagi Tu Zindah Dili Sey Khushiyon Or Ghamon K Sath Chalney Ka Naam Hey ....... Dilon K Fasley Nazar Tu Nahi Atey ....... Lekin In Ko Tey Kerna Namumkin Hota Hey ....... Or Agar Fasley Insaan Or Us Paida Kerney Waley Allah Ki Zaat K Darmyan Hon Tu Insaan ....... Insaan Nahi Rehta Bulkeh Us Waqt Woh Ghaflat ....... Jahliyat ....... KhudhGharzi Or Mufaad-Parasti Ka Majmooa Ban Jata Hey .......
"Akhbar-e-Jehan Sey Iqtibaas"