Mohabbat oss ki surat

piyasi pankhari ke hont ko sairab karti hai

galo ke asteno main anokhe rung bhurti hai

saher ke jhapete main gungunati,muskurati jagmagati hai

Mohabbat ke dino main dhust bhi mehsos hota hai

kisi furdos ki surat

Mohabbat oss ki surat

dilo ki ser zameen pe girke ate aur barusti hai

chamun ka zara zara jhomta hai muskurata hai

azul ki benamu miiti main subza sar uthata hai

Mohabbat inko bhi abad aur shadab rakhti hia

jo dil qabar ki surat

Mohabbat aber ki surat

Mohabbat agg ki surat

bohje seene main jate hai tu dil baidar hote hai

Mohabbat ki tapish main kuch ajab israr hote hai

ke jitna yeh bharakti hai uros jan mahekti hai

dilo ke sahilo per jama hoti hai aur bikher hai

Mohabbat jhag ki surat

Mohabbat agg ki surat

Mohabbat oss ki surat

Mohabbat abur ki surat