Muhbbat Be Wafa Hergiz Nai Hoti
Muhbbat Kernay Walay Laakh Andeeshon Main Ghir Jaien
Muhbbat Ker K Pachtaien
Tu In K Apnay Kehnay Say
Muhbbat Be Wafa Hergiz Nai Hoti
Muhbbat Sirf Ik Tarz-e-Ibadat Hai
Muhbbat Khud Khuda Hergiz Nai Hoti
Muhbbat Ik Diya Hai Jo Faseel-e-Dil Per Roshan Hai
Muhbbat Noor Ki Pehchan Ka Pehla Hawala Hai
Muhbbat Say Ujala Hai
Muhbbat Ki Nai Jati
Yeh Ho Jati Hai Aksar He
Ager Ho Jaye Tu Tarpati Bhi Aisa Hai
Ragon Main Khoon Chalta Hai Na Rukta Hai
Sarapa Ajnabi Zakhmo Say Dukhta Hai
Muhbbat Roog Ban Jati Hai
Lakin Muhbbat Be Wafa Hergiz Nahi Hoti...!