Bahut aChcha bhi lagta hai
bahut aChhaa bhi lagta hai,
achaanak is tarah dil ka dobarah mubtila hona,
muhabbat aashna hona,
magar jab dekhta huuN
vaqt kitna jaa chuka hai
raastoN kii dhuul
qadmoN aur saroN par kis tarah se jam chukii hai,
aur ham tum
apnii apnii zindagii ke daayiroN meN
apnii apnii gardishoN meN
is tarah uljhe hue haiN
jis tarah dasht-e-falk meiN saath chalte,
do sitaare
jo bazaahir paas lagte haiN
magar un kii rafaaqat miN
karoRoN miil kii tanhaai ka dariya bhii hota hai,
"yeh dariya paar kaise ho?
na tum ho us kinaare par
na ham haiN is kinaare par"
so behtar hai
ham apne apne daayiroN ke is Khala meiN ghuumte jaayeN
sitaaroN kii tarah
ik saath chamkeN aur damkeN to sahii lekin
yeh apne biich meiN jo faasloN ka surKh dariya hai
ise tasliim hii kar leiN!
k is be_pul ke dariya meiN
na tum hii tair sakte ho,
na ham hi tair sakte haiN!
bahut aChhaa to lagta hai,
achaanak is tarah dil ka muhabbat aashna hona!
dobaara mubtila hona!!