kangan
Kaash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray pyar se chao se baray maan k saath
apni nazuk si kalae main cherhaati mujh ko
aor be-taabi se furqat kay khizaan lamhoon main
tu ksi soch main dubi jo ghumaati mujh ko
main teray haath ki khushbo se mehak sa jata
jab kabhi mood main aa ker mujhy chuma kerti
teray hontoon ki main hiddat se dekek sa jata
raat ko jab bhi tu neendon k safer per jati
mermari hath ka ek takya bnaya kerti
main teray kaan se lag ker hae batain kerta
teri zulfoon ko teray gaal ko choma kerta
jab bhi tu band qaba kholnay lagti jaana
apni ankhon ko teray husn se kheraa kerta
mujh ko be-taab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh k gulshan main mehekta rehta
main teray jism k aangan main khanakta rehta
kuch nahe tou yahe be-naam se bandhan hota
kaash main teray haseen haath ka kangan hota....