Wah Zabardast
Duniya ma hum larkiyoun se ziada ahmaq aur koi b nahi hota khush fehmi ka aagaz aur ehtatam hum per he hota hey. sari umer hum muhabat ke besakhiyoun(clutches ) ka intezar kerti rehti hain ta k zindagi ke race shuru ker saken. humain her mard k barey ma khush fehmiyan rehti hain k woh aye ga humain dekhay ga aur humara ho jay ga.Koi hum se humdardi karey to humain khush fehmi honey lagti hey. koi humain sarahey to humain woh apni muthi main qaid nazar aney lagta hey. Koi humarey sath waqt guzarey to humarey hosh-o-hawas thikaney per nahi rehty
woh ruki
Umer ka khyal hey mujh ma maturity nahi hey yeh to kisi main nahi hoti kabhi larkiyan b mature ho sakti hai?
woh aik bar phir hansi
Hum main maturity sirf tab aati hey jab humain is tarha reject kiya jata hey jaise ab main mature ho gai hun.
Aamer bail(Umaira Ahmed)
__________________
Wah Zabardast
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
Radd kiye janay....reject kiye janay k ahsaas ko Manto sahaab ne jis khobsorti k saath byaan kia hy apnay afsanay "Haatak" MAIN SHAYED HE KSI NE KIA HO....
share kijeye na phir.