"Main Nahe Janti"
Main nahe jaanti!k woh gumshuda shay kia hay.woh khoe hue aarzu koun si hy?jis ki peham justuju meray qalb-e-hazeen ko be-qaraar ker rahe hy ,
namaloon be-chainion main mubtala kiye huye hy.
is namaloon shay ko rawish rawish talaash kia,besiyoon mertaba kainaat k zarray zarray main dhonda aor chappa chappa chhaan mara mager woh aaj tak nahe mili.
bulbul k naghmoon ,noshagufta ghunchoon ki muskurat, sitaroon ki shokhi aor baad-e sehar k jhonkoon main isay baar baar talaash kia mager laa hasil!aah!ye tou mehez ek saee nakaam thi!
Taluye aaftab ki zareen kirnain iska pta na day sakeen woh tou raat ki taariki main bhi na thi aor na he haseen chandni main ,aor mosiqi se mamoor sakoon main bhi isay panay se mazoor rahe.
Tou maalik!woh namaloom si shay kia hay aor kahan hay? jis k na honay ka
mujhy is qader ahsaas hy woh barabt dil ka chhena hua naghma! jis ne rooh ki taroon ko saAkit ker dia aor afsurda.
Aor ye aarzu! jo meray dil o damaagh ko pareshaan kiye huye hy main is se naawaqif hoon.
Qattaee nawaqif!
khaaliq! ye kaisi be-paaya khalish hy jis ne meri rooh ko is terha beqaraar ker dia jaisay pur sakoot saz k sinay main koi nahgma mutlaatim ho.
Mujhy tou isi cheez ki talaash hy isi aarzu k ber anay ki tamanna hy aor isi ghair merrae shay ka tajassus!
jisay main nahe jaanti.
jis k wajood main bhi shak hy aor haqiqat o sdaqat ka yaqeen nahe.