Hijab
Mere nazdeek mohabbat ke liye teen categories hoti hein. Aik woh log jo mohabbat kertay hein, dosray woh jo isay kernay ki koshsish kertay hein, aur teesray woh jo is kay baray mien kuch knowledge rakhtay hein, matlab kahin say parh ker, logo say sun ker ya khud us kay baray mein kuch souch ker ya likh ker. Mein teesri kisam kay logo mein aati hoon. Mera mohabbat kay baray mein jo nuqta-e-nazar hai woh aik alag behas hai, yahan per baat ho rahi hai ke mohabbat kadah kay baray mein mera kia khial hai, matlab yeh ke dil ki basti walon ke baray mein
Mohabbat kadah mere nazdeek woh jagha hai jahan per sab mohabbat ke bare mein apnay jazbat aur khiyalat share kertay hein. Mein pehlay pehl mohabbat kadah mein nahi aati thi, magar phir ana shuro kiya. Is section ko parh ker mohabbat ke baray mein, mein nay ik aur zaviye aur nazriye say soucha. Is section mein mohabbat ko haqeeqi nazar aur afsanvi nazar dono say dikhaya jaata hai. Is mein khud-gharzi kay rang bhi hein aur bay-gharz aur bay-lous mohabbat kay moti bhi. Is section mein anay k badd youn lagta hai k aap kise aur jahan mein aa gaye hein, jahan per sab ahsasat khubsurat ho jatay hein.
Akhir mein yeh he kahoon gi kay MK, mohabbat kernay walon ke liye woh samandar hai jis ke kinare per bethay honay kay bawajood tashangi kam nahi hoti. Yeh samndar aap kay sab anso, hijar ke dard aur faraq kay ablay samaitnay ka hosla rakhta hai. Is mein bay-lous mohabbat ka noor bhi chiraktay rahiye aur is ki roshni say khud ko bhi munawar kartay rahiye.
MK, mohabbat kernay walon ki wajh say he itna purronaq aur roshan hai. Ise taran mohabbatein kertay rahiye aur mohabbatein samait-tay rahiye ke mohabbaton ke samndar kabhi sokhnay nahi chaiyen!