Bari Ajeeb Si Riwayat Hai Yeh Bhi...
Lamhon Ki Halki Phulki Gintii Pe..
Sard Garm Mausmon Ki Garmi Sardi Mein..
Mukhalfaton Ke Ek Biphre Hue Samander Mein...
Zamane Ke Do Dhaari Nashtar Pe...
Chaltey Chaltey Ek Naazuk Sa Bandhan...
Yak-lakht Itna Mazboot Lag Raha Tha...
Jaise Yeh Sab Unsuni Sargoshiyaan Meshus Hui..
Magar Najaane Kyun..
Lamhon Ki Dheemi Si Larkharahat Pe..
Mausamon Ki Un Chahi Gardbardaahat Se...
Zamane Ki Teiz Dhaar Se Katt Ker..
Mukhalfaton Ke Ataah Samunder Mein...
Woh Bara Mazboot Sa Rishta....
Kacche Ghare Sa Pighal Ker...
Duusre Jazeeron Ki Taraf Beh Gaya Hai!
Bari Hairat Hui Yeh Soch Ker Ke...
Kabhi In Sab Se Guzar Ker...
Rishtey Amar Ho Jaya Karte They!
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا