Ik roz koi to sochey ga
Farzano ki is basti mein
Ik sakh's tha pagal pagal sa
Per batein theek hi kehta tha
Barish ki tarah pur shor na tha
Darya ki tarah chup rehta tha
Jin se ussey piyaar bala ka tha
Taaney bhi unhi ke sehta tha
Ik sakh's tha pagal pagal sa
Per batein theek hi kehta tha
Ik roz koi to sochey ga
Dunya ney ussey kuch bhi na dia
Per us ney jag ko piyaar dia
JaaN rootey rootey kho betha
Dil hanstey hanstey haar dia
Jo nazm likhi bharpoor likhi
Jo sher dia shahkaar dia
Kion jeetey ji dargor hoa
Kis chah pe tan man waar dia
Tha dushman kon becharey ka
kis ranj ney us ko maar dia
Ik roz koi to sochey ga
Aur pehrooN beth ke roey ga..............