is se phele ke sub yeh iqtibas share karain main he kardon
Nafeesa nay izrah-e tajassus sey poocha "Aap Kia Kartay Hain?"
"Main raaigaa'n mohabbaton ki nishaniyan jama karta hoon"
"Duniya main mohabbat ko bachanay ki koshish kar raha hoon"
"Baywafaai ko phailnay say rok raha hoon"
Sultan Adam sans ko pakar kar teeno'n batain aik saath kah gaya to is ki ajeeb o ghareeb batain sun kar Nafeesa ki aankhon'n main halkay say tanz ki mohom si parchaaiyan namodaar hoye.
thori dair ki khamoshi kay baad woh boli "kia aap aisa sochtay hain kay duniya main mohabbat ko koi khatra lahaq hai"
"yeh sochnay ki baat nahin ' balkay intahai tashwishnaak soorat-e-haal hai kay duniya main mohabbat bari taizi say khatam hoti ja rahi hai"
"Mohabbat kay ilawa bhi to dunyia main bohat kuch hai"
Nafeesa nay Sultan adam ki tashwish say bhari hoye aankho'n main jhanktay hoye kaha "Main samjhta hoon kay Mohabbat kay baghair insaan ki rooh banjar ho jaye gi"
Sultan Adam kay lahjay main hulki si talkhi ghuli hoye thee " aisa sokha paray ga kay intizaar ki sari fasal tabah ho kar rah jaye gi.. tanhai ki mahak kisi murda janwar jessi ho jaye gi..or tanha aadmi kay qareeb say aap naak par rumaal rakh kar guzrain gay..udaasi kay rango'n ko paknay say pahlay ki baywafaai ki gard aalood aandhiyan ura lay jain gi..mun shikasta khAwabo'n ka kabaar khana ban jaye ga..Mout badsurat ho jaye gi..kyonkay Mohabbat ki kamyaabi kay habs main Mout ka khoobsoorat phool kumlaa jaye ga.
Mazhar Islam "Murda Phoolo'n Ki Symphony"