Such Yaar
Din kO SOoraj tO Diye Jaltey hiaN Shab Bhar Kitney
Phir Bhi Andhyaarey hiaN Insaan Key Andar Kitney
Kitna Ehsaas hAi Is Jism Ki Aarayesh Ka
rOoh Key Sath Magar Dil Bhi hiaN Banjar Kitney
Tashnagii Meri zameeN Kii nahieN Bujhney Paaii
yoN tO Badal Ney NiChoRey hiaN Samandar Kitney
Yeh tO Ghairat Ka Taqaza hAi Na UmdieN Warna
Apni aankhoN mieN Chupey Rehtay hiaN Sagar Kitney
Zehn Jalta hAi tO SochieN Bhi Jall Uthtii haiN
Aur Ehsaas mieN gaRr Jaatey hiaN Khanjar Kitney
lOg Hans Hans Key Dilaatey hiaN WafaaoN Ka YaqeeN
Aur Haath mieN Liye Phirtey hiaN Pathar Kitney
Jis Sey Insaan Ki Anwaar hOii Thii Takhleeq
rOll Daaley haiN Isii Khaak Ney gOhar Kitney
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
Such Yaar
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
zabardast
Buhaat Khoob