Dudh.............................. 2 KG
Cheeni.............................2 MAG {Chaye k cup hote hain na woh}
Cream................................Milk pack ki le lein ya jo mile ba aasani....................{2 packit}
Kelay.....................................3 Adad
Angoor.............................motay aur baray hon to beej nikal ker chota hota ker lein chota ho to drmyan se bus katein
Corn Flr.......................................dudh ko garha kerne k liye...................2 khane k chamach
badam pista............................................k at lein bareek garnish k liye aur lab e sherein main dalne k liye
Pasta Rangeen sawaiyan ba aasani mil jayein gi market se...........................1 packit ubal lein
Arq e Gulab................................2 chaye k chamch
Tarkeeb
Dudh ko chulhe epr rakhein per garam akrne se qabal aik bowl main 4 se 6 khane k chamch dudh nikal ker us main corn flr mix ker lein achi trah k ghul jaye ab dudh garam ho to us maindudh main ghula corn flr dalein aur musalsal chamch halayein tora garha hone epr cheeni dalein aur mazeed garha karein ab arq e gulab dalein . phir chulhe se utar lein thanda ker k aik bowl main jo dudh pakaya tha woh aik bowl main lein aik cup k barabar us main cream dalein aur phant ekr achay se ab us pakaye hue dudh main mix kerein cream hal ho jaye to sawaiyan dal ker mix kerien yaad rakhein dudh thanda ho to cream aur sawaiyan dalni hai
phir katay hue phal pista badam thora sa dal ekr dish out kerein aur badam pista s egarnish ekr k srv kerein khub thanda ker k yeh dish jitni thandi ho gi utna maza de gi