Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya
Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya
Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya
Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya
Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya.