Saans kia leta hai aik pathhar mein tu
Dhal bhi jaa ab jism ke paiker mein tu



Shaakh pe jaise nazar aata na tha
Saj uttha hai coat ke collar mein tu


Sochtey rehtey hain tanha raat bhar
Jagta hoga kahein bister mein tu

Neend kia aaye bhala iss fiker mein
Jaaney baaher hai ya apne ghar mein tu

Hijer mein bhi vassal ka hai imtizaaj
Goya ek manzar, pas-e-manzar mein tu