jalti shamein roshan chehre
kamni ladiyaan nazuk sehray
nargis,bela,motia,lala
juhi,champa aur banafsha
har koi shaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai naa
hum tou sirf duago log
khaak o maher ka kya sanjoug
paas rahein ya door rahein
wehshat se ranjoor rahein
mehfil tou aabaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai naa
tark e taaluq khoob kiya
dil per kari waar saha
nouch di konpal chahat ki
aas na rakhi raahat ki
dil meho e fariyaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai naa
kaise kaise khwaab bunay
rang brange khwaab chunay
saalgirah ka cake katey ga
haath pe un ka haath rahe ga
khwaab har aik barbaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai naa