Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 12

Thread: MK Compitition January 2010.....!!

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel MK Compitition January 2010.....!!

    Adab arz hai

    Sawal :

    Shadi Ke Bad Mard/Aurat Apne Life Partner K Bajaye...Agar Kisi Or Sey Mohabbat/Attraction Mehsos Karain...Tu Kiya wajohat Hoti Hain In k Pechey ? Kiya wo Apne Lyf Partner Se Mutmain Nahi Hotey ? Akhir Aisa Ku Hota Hai ?

    Tafseli Jawab Dijeye Ga

    Rules:

    1... Aik member aik he bar jawab dai ga.
    2... kisi dosre members ke jawab per tanqed nahi ki jayegi..
    agar aisa kiya gaya tu post edit karde jaye gi.
    3... Apne jawab 21 Jan Tak is he thread main submit karsakte hain.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    kiya hua

  4. #4
    Join Date
    May 2008
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    8,519
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    274 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    Mard Agar , Apne Shareek-e-Hayaat ko chor kar kissi aur mein Kashish Mehsoos karta hai tu is ki bunyadi wajoohat yeh hu sakti hain! ya phir koi aik waja hu sakti hai jo sab khoobion par bhaari hugi , woh kya waja hain main points ki shakal main likh rhi hon ,

    1) woh mard ibtida hi se kissi aik ourat par takiya nhi karta, usay libas ki tarhan ourat badalne ki adat hu sakti hai

    2) us ki b.v us ki buniyadi zarooriyat ko poora nhi kar rahi huti hai

    3) us ki b.v apna khayal khud nhi rakh rhi huti hai , mtlb woh apne mard k leye banti sanwarti nhi hai , ajeeb se huleye main rehti hai

    4) us ki b.v us ki ideal nhi hai, jaisa woh chahta tha usay waisi b.v nhi mili,

    5)us ki b.v zaban daraz hai , larnay jhagharny ki aadi hai , kissi baat par "SAMJOTA" nhi karti hai .

    6) us ki b.v usay Zehni sukoon dainay main nakaam rehti hai!

    7) us ki b.v khoobsurat ya khoob-seerat nahi hai!

    8) us ki b.v usay Oulaad ki khushi daine mein Nakaam rehti hai

    9) us ki b.v boht Ameer nhi hai ,

    10) us ki b.v boht sa jahaiz nhi lati hai

    =======================================================

    Aurat Agar kissi Gair Mard main kashish mehsoos karti hai tu us ki wajoohat kya hu saktin hain woh bhi points ki shakal main likh rhi hon

    1) Mard us ki buniyadi zarooriyat poori nhi kar raha hai

    2) Woh Aurat dil lagi , tym pass karne k leye doosre mard main kashish mehsoos karti hai .

    3) us ka shohor us k dili jazbaat ko nhi samjhta hai

    4) us ka shohor ghur pe tawwajja nhi daita hai

    5)us ka shohor har waqt tankeed ka nishana banaye rakhta hai/ hosla afzai ya tareef nhi karta

    6) us ka shohor apni b.v par shaq karta hai

    7) us ka shohor us ko b.v nhi baandi samjh k rakhta hai

    8) us ka shohor us ko kharchay paani k paison ko bhi tarsata hai

    9) us ka shohor us ki har waqt, har jaga tazleel karta hai , usay haqarat ki nigah se daikhta hai ,

    10) us ka shohor us ka ideal nhi, jaisa woh chahti thi , jaisa sochti thi us k bar-aqs hai

    ==================================================

    yeh tu woh wajoohat thi jis main se koi na koi waja bana kar insaan doosri ourat ya mard ki taraf raghib huta hai leken in sab se bari cheez hai woh 3 batain jo boht hi ziada bunyadi aur mushtariq hain, agar woh teenon batain Shohor Aur B.v k darmian hon tu dono aik doosre k hamesha k leye hu sakte hain woh 3 points yeh hain

    1) Mohabbat

    2) Understanding

    3) Aitbaar

    agar miyan b.v pehle hi din se aik doosre ko yeh tenon cheezain daine ka waada karain tu duniya ki koi taqat inhay alag nhi kar sakti hai!

    2dnmmf - MK Compitition January 2010.....!!

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    sab paras nay likh diya ab kaya likhon me
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - MK Compitition January 2010.....!!

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    Main samjhti hon ke shadi ke bad agar koi mard kisi dosri aurat main or agar aurat kisi dosrey

    mard main attraction mehsos karey ya Mohabbat karey tu yeh Nikah jaise MUqadas rishtey ki toheen

    hia...jab app Apne life partner ke sath Aitebar ka rishta he nahi bana saktey tu phir faida aise

    rishtey ka ? sirf duniya dikhawa ? ap ka apna zameer gawara karleta hai is chez ko ? Shadi se

    phele agar app kisi se Mohabbat kartey hain or wo MOhabbat ap ko nahi mili tu phir shadi karne ke

    bad kam az kam Apne life partner se Mukhlis rehye maana Mohabbat insan nahi bholta leken jab koi

    sath rehta hai tu us se bhi Mohabbat ho he jati hai Mohabbat na sahi us ki Adat ho he jati

    hai...!!!

    Ab baat hai ke attraction ya Mohabbat ku hojati hia ...is ki jo kuch wajohat maine note ki

    hian...ya jaha tak maine samjha hai ... k sara Mamla Umedon per aker khatam hojata hia ...Shadi

    se phele bhotttt sari umedain bandh le jati hian..mana bilkul mana ke yeh rishta he aisa hia ke

    is main umedain karna bhi na chaho tu dosrey insan se umid lag he jati hia ...or jab wo pori nahi

    hoti waise Mohabbat nahi milti jaise chahye hoti hai tu phir koi dosra insan zindagi main ahe

    jata hai or wo acha ku lagta hai sirf is waja se k wo ap ke sath nahi rehta ..ap us se bahir

    miltey hian app ki baatian wo sunta hai koi rad-e-amal nahi karta ...haan agar wo ap ka

    hubby/wife ho tu zaror responce de kisi se kisi baat ka ...us tesrey shaks se ap ko naam nihad

    mohabbat mil rahe hoti hai baz dafa yeh real bhi hoti hai leken kaye dafa yeh aik bhonda mazak

    hota hai jo hum insan dosron ke sath khail jatey hain...haan dosron ke jazbat ke sath khail jatey

    hain...najaney aise logon ka zameer kha hota hia...wo un ko malamat ku nai karta...maine ab tak

    apni life main aise 3 cases dekh chuki hon ke Miyan biwi se kuch or kehta hai apni Mehboba se

    kuch or biwi apne miyan se kuch or kehti hia..yeh sub kuch kiya hai mjhe un sub ki zindagi mazak

    lagti hia ke aik dosrey ke sath mukhlish relation he nahi qaim tu phir faida ..haan pairon ki

    zanjeer tu bachey hiana ... sub ka yehe kehna bachey na hotey tu hum alag hojatey tu yaar bachey

    hone se phele nahi pata tha wo admi/aurat kaise hain ? pata tu insan ko chal he jata hai leken

    duniya ko dikhane k liye yeh sub rishtey nibha liye jatey hain ...bhaley dil andar se mutmain na

    ho ...zaida tar kha jata hai ke aise kaam admi kartey hain....nahi yeh ghalat hai yeh kaam maine

    khud apni ankhon se auraton ko bhi karte dekha hai...kha jata hai dil ko sakon mil jata hai

    ...miyan tu aise pyar bhari baatian karta nahi haan aik lover he karsakta agar ghalati se wo he

    lover miyan bun jaye tu phir ? haan phir ap ko kisi or mard ki talash hogi jo ap ka lover bun

    sakey ? yaha tu phir ap ki Shaksiyat main he kami hia ...ke aik ke bad aik ap ke dil ke sakon k

    liye ...khoub se khoub tar ki talash Miyan/ biwi ko aik dosrey se dor kardeti hai...rishtey

    banana bhot asan hia unkko nibhana sub se mushkil or Nikah jaisa azeem fariza tu sub se mushkil

    hai nibhana..or abhi purity ke sath...beja lariye jhagrey ..rok tok dono taraf se is relation ko

    kamzor kardete hain aik dosrey per aik trust karliya jaye tu shayad log yeh rishta nibhane main

    kamyab hojaye ...aik dosrey ka aitemad bahal karain ...jaha apni baat manwani hai waha manwaye

    leken dosrey ko bhi ahmiyat dain ...uski bhi pasand ko dekhian ..baz dafa ap gahalat hotey hue

    bhi apne ap ko sahi samjhtey hain waaha agar dosra kuch kehta hai tu uski rayee ko mo`aterbar

    janiye ...zindagi phir he pata chale ga ke kitni khoubsurat hai...leken sub se barh ke Miyan ko

    biwi ka or biwi ko miyan ka mijaz zaror samjhna chahye ...yeh sirf biwioun ka he farz nahi hia

    miyan ka bhi haan auraton ko zaida samjhota karna parta hai leken yeh nahi ke mard nai kartey

    ...bilkul mard b samjhota kartey hain...her waqt paise ka rona na roya jaye ...mana important hai

    leken Mohabbatain jaha na rahey waha paise ko kiya karna...Mohabbat ko dil se mehsos karain

    ...jab yeh dil main ugg jaye gi tu phir rishtey kamzor hone ka sawal he paida nahi hota...aik

    dosrey ka libas banain na k kahe bhi aik dosrey ko baatian suna dey..aksar larkiyan maikey jaker

    miyan ko sunana shuro kardeti hian yeh bhot he ghalat baat hai waha bhi hubby apni insult mehsos

    karta hai...aisa mahol he create na karain ke Miyan ya biwi kisi dosrey ki taraf tawaja bhi

    dey...chirchira pun baat baat per ghusa or batamezi ...zuban chalana...yeh sub is relation ko

    kamzor karta hai...app khamosh bhi reh saktey hain kuch bhi kehne se behter hia chup hojao..chup

    ki maar bhot lagti hia ...!!!

    in sub baaton ke bawajod bhi agar ap ko kisi dosrey shaks main attraction mehsos ho tu phir yeh

    ap ke kirdar ki kami hai...ap ko kisi aik thali main khana he nahi ata...her jaga moh marney ki

    adat bhi achi nahi hoti...or aik bar agar izaat main kami ajaye tu wo tahayat ajati hia phir app

    kabhi dobara us muqam per nahi asaktey jo ap ka hota hai..isliye khud ko mazbot banaye ...aik

    dosrey per bharosa karain...jalne kurney se faida ...jab shadi ki hia tu usey nibhaye...Mohabbat

    se aik dosrey ka hath thamian...phir waqie ap ko lagey ga ke log ghalat kehtey hain ke jo yeh

    Laddoo khata hai pachtata hai..ap ko lagey ga ke jo yeh Laddoo nahi khata wo pachtata hai...!!!

  7. #7

  8. #8
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    HEART
    Posts
    5,627
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    96 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Re: MK Compitition January 2010.....!!

    Mohabbat hai kya?....Ek khoobsurat jazbaat ...yeh feeling sahi jagah aur sahi tarah se express ho tho hi achi lagthi aur khoobsurat bhi...warna yehi pak ehsaas gunaah ban jata hai....Yeh aapki zindagi khushiyon se bharti hai aur yeh Insaan ki sabse badi zaroorat bhi hai.

    Anyways mere khayal se Shaadi ke baad kisi aur se Mohabbat nahiN nahiN nahin.
    Mohabbat sirf ek baar hoti hai...dillagi baar baar hoti hai.....Shaadi ke baad mohabbat gunah hai.....I can understand attractions ho sakthe....BUt well...Yehi tho asal azmaish hai Insaan ke Nafs ki.

    Isliye tho Islam kehtha hai shaadi zindagi ka ek ahem faisla hai...jo larka aur larki ki raza se hona chahiye....uske baad woh khudh zimmedaar hai apne halaath ke...Humare culture maiN doNo ki raza ki baat ko ahmiyat nahIN di jati isliye aksar kaye shaadiyaN sirf majboori maiN ho jati....jiska nateeja yeh dusri baar mohabbat, divorce jaise halaat paida ho jate.

    Halaat jo bhi ho...ek baar shaadi ho jaye......they should love each other.....and try to be committed with each other for their own and entire family's betterment.

    Koi InsaaN itna bura nahiN ho saktha ki ussay shaadi ke baad bewafai ki jaye...halaat zaroor kuch na-gawaar ho sakthe...bar haal it all depends on situation...har situation ko control kiya ja saktha with proper understanding of Islam and by abiding by all the duties and rights given to man and women in islam........aur ladka/ladki doNo ke liye har baat aaply hoti hai.

    Waisey Dusri Shaadi aur Mohabbat do alag baateN hai.

    Dusri shaadi ki ja sakthi....BUT again uske kuch conditions hai Islam ke thehat....usay follow karna chahiye....Sirf dusri ladki se mohabbat ho jaye, yeh criteria sahi naihN shaadi ke liye.

    Aur Mohabbat dobara yunhi naihN hoti...aap chahthe hai isliye hoti ... bajaye apNI shaadi maiN haami dhoondhain ya kahiN aur mohabbat dhoondhaIn...behthar yeh hoga ki aap apNe nafs pe control karain aur usay kam yaab banae ki koshish karain.....we have to love each other for Allah(swt) sake.....Deen ko sahi samjheN aur ek dusre ko uske haqooq ada karain....tho aajkal jo yeh masla aam bana hua hai..woh aye hi na.

    Just treat your wife/husband the way u like to be treated....shaadi ki agar buniyaad sahi rahi tho yeh fuzool harkathoN ki gunjaish nahiN rehthi.......Jo yeh sab baateN samjhe woh yeh shaadi ke baad ki mohbaat ya koi aur masle maiN jaye hi na.

    "When a man marries, he has fulfilled half of his religion, so let him fear Allah regarding the remaining half."

    "A man marries a woman for four reasons: for her property, for her rank, for her beauty, and for her religion (and character). So marry the one who is best in the religion and character and prosper".

    "A Muslim man can acquire no benefit after Islam greater than a Muslim wife who makes him happy when he looks at her, obeys him when he commands her, and protects herself when he is away and his property.'

    "The most perfect believer in faith is the one whose character is finest and who is kindest to his wife."

  9. #9
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    sweet home
    Posts
    10,033
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    10737444

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    main itna hi kehna chahoon gi k wo donon aik doosry ko dhoka day rahy hain or Allah k hukam ki na farmaani kr rahy hain or apny is paak or khoobsoorat rishty ko na paak kr rahy hain...

    aisa hona hi nahi chahiye na mrd ki trf say na aurat ki taraf say wo nahi jaanty k wo kitna bara gunaah kr rahy hain...

    thats all

    Khud Ko Bud Naseeb Kehny K Gunaah Say Bachty Raho

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: MK Compitition January 2010.....!!

    shadi k baad ager dono main say aisa koi b kerta hai tu mera khayal hai wo ik dosray ko cheat ker rahay hain...ik relation main bandhay hoye b wo alag alag hain....

    wajoohat wohi ho sakti hain keh gahar ki murgi daal barber bahir ki daal murgi baraber....tu bas

    kch mard jo hotay hain un ko adat b hoti hai gahar biwi hotay hoye bahir nazar rakhni.....tu jab wo kisi per nazar rakhien gaye tu zahiri baat hai un ki biwi per b kisi ki nazar hoti hai....tu jab biwi ko wo payar wo tareefien jo hubby ko kerni chahien kahin or say milnay lagti hain...wo b chal perti hai usi rah per.....

    bas end main yahi keh aisay log sari umer bhataktay hain kabhi wo nai milta un ko jo wo chahtay hain...kabhi mutmin nai ho saktay wo apni lyf say phir....
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - MK Compitition January 2010.....!!

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •