-
Ham sab aaj k din ek ahad karein
aaj muharram(islamee naya sal) ki yakum trekh hey. Pichley sal ham ney kya aamal key unka jaeza lein agar achhey aamal keye to shukar karein nahein to fikar karein jab ham deen-e- islam ki batt kartey hein to dar asal salmtee ki khair ki aur aman ki batt kartey hein insaf kibatt kartey hein insan ki kamyabe ki batt kartey hein. Islam wo wahid tareeqa_e-zindage hey jis mein sab ko tahfuz hasil hey. Islam ko aapne fikar aur soch mein dhalney ki ghaltee kabhee na karein balkey khud ko islam ki taleemat aur fikar mein dhalney ki khloos-e-neyat se koshish karein.apne khawaishat ki ghulame karney ki bajaey apney haqeqe malik ki ghulami ikhtiar karein.insani soch aur raey her dor mein badaltee rahee hey jo k bilkul fitree aamal hey ghftagoo shaeid taweel ho gaee mein batt kar raha tha apney aamal kee k jab aap koee kam kartey hein to usey khuda to dekh he raha haota hey kuch loog jo aap k ird gird hotey hein wo bhe daikh rahey hotey hein .agr achha kam hoga aur dekhney walon mein se kuch ney bhee ussey apnaleya to yad rakhein aap ek achhey kam ki ibtida karney waley ban gaey bas guzarish karna yahee maqsod hey k her kam karney se pahely ye batt soch leya karein.
---merairey qalam se dr athar hussain siddiqui(ibne sultan narvi)
.
-
Re: Ham sab aaj k din ek ahad karein
jazak Allah khair....
very nice sharing.......
Humain zaroor apny aap ka muhasiba karna chahiay... Lakin saal ha saal naii, balky har din... Humain raat ko zaroor kuch wakkat yeah sochna chahiay k hum ny aaj ka din kaisy guzara, kya mujj sy kissi muslan bhai ki dil-aazari to naii huee, kya main ny aaj jhoot to naii bola, kya mujj sy waldain ki nafarmani to naii, etc... iss tarah hamain saary din ka tajziaa karna chahiay aur ki gae ghaltiyun ki maafi mangani chahiay , aur agly din k liay unn ghaltiyun sy door rehny ki koshash karni chahiay....
Bohat khoobsurat sharing.....
Khush rahain...
-
Re: Ham sab aaj k din ek ahad karein
JAZAK ALLAH Brother
Great post, tnx 4 remyndi us abt ar sins, May ALLAH SWT increase our Iman, and may he guide us on the ryt path, as he guided many others..Ameen
-
Re: Ham sab aaj k din ek ahad karein
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules