ASHFAQ AHMAD WARAQ KII KITAB"QALAMII DUSHMANII" SAY IQTIBAS
* kehtay hain, baray darekht k neechay chota darekht nahein ugg sakta.haalaan-k chotay darekht k neechay bara darekht bhii nahein ugg sakta
*jo shakhs kaheen jaraha hay, wo ikk muqam per aa bhi raha hay
*jab aap cherhaaee cherhengay to thakan bhii saath cherhaygii,mager jab wapis utrengay to akelay hongay
*auqaat badalnay k saath saath auqat bhi badal jati hay
*amooman her peda honay wala bacha sir k bal aata hay mager chalta hamesha pairon k bal hay
*koee cheez jitnii paktii jaey, usay pakana utna hii mushkill hota hay
*kisii ka sun,na aur bat hay, kisii ko batana aur bat hay
*her sirkaree mulazim ko zaleel hona perta hay jab k her zaleel ko sirkarii mulazim nahein hona perta
*mithay k phal(fruit) kii khas bat ye hay k wo meetha nahein hota
*bazzr say soda lanay k liyey sirf peson kii hii nahein bal-k thelay(bag) kii bhii zaroorat hoti hay