sora baqra kiaayat (153 to 156) irshad-e-bari talla hey(tarjuma)
a logo jo iman laey ho sabar aur namaz se madad lo. Allah sabar karney walon k sath hey.aur jo log allah ki rah mein marey jaein unhein murda na kaho ,aisey log to haqeqat mein zida hein, magar tumehin is ka shaoor nahein hota. Aur ham zaror tumhein khof wa khatar,faqakashi,jan-o-mal k nuqsanat aur aamdaniun k ghatey mein mubtila kar k tumahare azmaish karein gey.in halat mein jo log sabar karein aur jab koe musebaat parey to kahein “ham allah he k hien aur allah he ki taraf palat kar hamein jana hey,”unhein khushkhabre deidu ,un per un k rab ki taraf se bare inayat hon ge,us ki rehmat un per saya karegi aur aise he log rast ro hein.
ye hein wo hidayat jo hamarey rab ki taraf se hamein gham aur preshani k waqt k leye dee gaee hein .tamam dost is per zaroor ghor farmaein .
ham allah he k hien aur allah he ki taraf palat kar hamein jana hey,”
"Allah" phla word capital mein likha karein
Jazakallah..........