-
Ghum-e-ussain mein pyara nabi rotahey
------(1)sora baqra ki ayat no, 154. Allah talla irshad farmata he shaheed ko murda mat kaho wo zinda he lekin tumhein is ka shaor nahein.(2) hadees-e-mubarak,(mafhom byan kartahon) ek martab aap saw hazrat hussain ko siney se laga kar ro rahey they daryaft karney per irshad farmaya is merey batey ko meri ummat shahed kar dege hamarey aaqa uswaqt bohot dukhe they ek martaba aap saw dua farma rahey they in alfaz k sath (mafhom) hassan wa hussain samney mojod hein aap farma rahey hein ya allah ye merey battey hein mein in se pyar karta hon to bhe in se pyar kar aur jo in se pyar karey to un se bhe pyar kar,--- ek martaba namaz k doran sajda mein they k hazrat hussain aap ki pusht mubarak per beth gaey hamarey aaqa ney sijda taweel kar dya subahn allah.
soze dil aur soze jigar hota hey
ghum-e-hussain per pyara nabi rota hey
hussain zida they hein aur raheingey
zalim qabar mein ruswa huwa sota hey
sahara syedi ka lo dobne se pehley
nadan too janat ko kun khota hey
jis ghar se deen-e-haq tuloo huwa
us ghar mein hassan hotahe hussain hotahe
hussain k aashiqoon koo aaqa ki dua hey
unkey majzoob se rab khosh hotahey
waqt k yazeed se unhe lartey rahoo
hussaini kirdar ek amal achota hey
hussain se muhbbat ki waja pochtey ho
hub-e-hussain se khuda qareeb hotahey
athar chahtey ho agar jame kusar naseebho
usey chaho jis k ley sijda taweel hotahey
-------kalaam dr athar hussain siddiqui(ibne sultan narvi)
-
Re: Ghum-e-ussain mein pyara nabi rotahey
Braey mehbani mera kalaam poet club se move na karein kun k ye meri zatee shery hotee hey, meranasar mein qalmi nam ibne sultan narvi tha jab k shaery zatee nam se hee karta hon.
-
Re: Ghum-e-ussain mein pyara nabi rotahey
-
Re: Ghum-e-ussain mein pyara nabi rotahey
subahn Allah.
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules