is bar janab

winner

naz hian



Inhon ne 5 votes se comp.win kiya hai

yeh rahi inki sharing


Mohabbat shadi ka amal nahi hai..na he shadi se Mohabbat ki takmeel hai..Mohabbat ki takmeel kabhi bhi nai hoti..hamesha is main or zaida bhot zaida ka lalach barhta he jata hai..kabhi ap ne socha hia k agar shadi se Mohabbat ki takmeel hoti hai tu ku phir log shadi ke bad badal jatey hain ? ku phir her waqt aik he rona roya jata hia ke ab time nahi hota 2 methey bol bolney ka bhi time nahi reh jata..baat darasal yeh hai ke jab tak jo chez hasil nahi hoti uski kashish barqarar rehti hai or jab wo hasil hojati hia tu uski kashish mai kami ajati hia aj zaida tar Mohabbat ki shadiyan he nakaam hoti hai kabhi socha hai ku ? jo chaha hota hia wo jab mil nahi pata tu insan chirchira hojata hai..jis MOhabbat ki chah main sub luta do or phir bhi kuch na hasil ho tu shayd yehe kafiyat hoti hia..arrange marriage mai insan samjhota karta hai..zindagi kisi tor tu guzarni
hai or aj is mashrey main shadi ko he zindagi ka maqsad samjha jata hia..leken yaha shayd ap ko mere lafzon se baghi pun ki boo aye ke mere nazdek shadi he zindagi ka last maqsad nahi hia..or bhi gham hian janab..haan Mohabbat tu rehti hia qaim daim hamesha jab tak hum main sans rahe ga hum MOhabbat k pujari baney rahe gai..leken Shadi MOhabbat ka amal meri nazar main kabhi bhi nahi hia..yaha sedhey or saf lafzon main kahon tu shadi ke bad aik insan ki dosre insan per malkiyat hojati hai jismani or bhot kuch..leken jab in sub chezon se charm khatam hojata hia or ap aik machine ki tarah zindagi guzarney lagtey hain tu ap phir kabhi na kabhi zaror sochtey hain k hum yeh kiya kar rahe hian..hamari wo Mohabbat ? hamarey wo dawey ? sub kha chale ? agar hum kisi dosrey insan k jism ko hasil karke yeh samjhtey hain ke humari Mohabbat ki takmeel hogaye tu yeh
hamari wahiyat soch hai..kisi ka jism ap ka ho or zahan ap ka na ho tu ? yeh meri nazdek Mout hia Mohabbat ki...!!!

bus itna he kahongi ke Mohabbat k poudey ko Izhar ke pani ki hamesha zarorat rehti hai..Mazhar-ul-islam ne kha hiana ke "Mohabbat ki roti roz taza pakani parti hai" or shadi ke bad agar yeh roti roz taza na pakey tu phir roti or roti wala dono he basi hone lagtey hain..phir kahey ki takmeel Mohabbat ki or kahey ki Mohabbat...!!!

Mohabbat ko sirf shadi ki takmeel mat banne dey..Mohabbat ki rooh main utar jaye..phir dekhye Mohabbat ap ki takmeel khud kardey gi...!!!






baki sub doston ka bhi behad sukriya