Janab is bar hum Bahen/Sisters Month mana rahe hian tu yaha app ko jo POetry share karne hian wo agar Bahen per ho tu zaida acha hai leken bilfarz ap ko POetry nahi mil rahe tu app rishta/taluk per bhi POetry share karsaktey hain leken bunyaad wo khandani Rishtey he hone chahye na k Mohabbat ka taluk ajaye bech main .. leken koshish yehe hone chahye ke Bahen per he poetry share ki jaye.
Poetry main app nazm/ghazal share karsaktey hain.
Rules :
1-Ek member ek hi Poetry share kar sakta hai
2-Edit ki huwi post accept nahi ki jayegi
3-Poetry share karne ki last date 21 Jan hai.
Aap Sb Ki Achi sharing ka Intizar Rahe ga.
bholi hai bohut meri behna
rooti bohut hai meri behna
apne ghum ko chupa k woh
gazlein likhti hai meri behna
jo zindagi ka roop dikha day
aisa tilassam hai meri behna
apni khushiyoun kaa pata nahi hai jab say
woh dusron ko khush rakhti hai meri behna
logo ko kiya pata andaz-e-bayan us ka
jo likhey ek shabad to kaLam bhi roo day
joo lafzoon main bayan karey haal-e-dil
to sab dilon ki ankhein ashkbar karday meri behna
diL ka diya jal'la k
kaantoo k takiyaa pe sir rakh k
dukhoon ki chaader oorhay
tapti rait pay sooti hai meri behna
Mohabbat
Hijar
Nafrat
Sab Mill Chuke Hain Mujhe
Main Ab Takreban Mukamal Ho Chuki Hoon!!
Aankh Bher Aayi Jo Behna Se Meri Baat Hui
Dhup Thi Tez Mager Tut Ke Barsat Hui
Us Ki Baaton Ke Seher Se Bhala Kaise Niklun
Waqt Hi Thehr Gaya Tajdid-E- Riwayat Hui
Paiker-E-Pyaar, Wafa, Dosti O Hamdardi
Meri Paras Meri Behna Meri Saughaat Hui
Aisi Masum Wo Pakeeza Nazer Aayi Mujhe
Mushi Tujh Per Tere Rab Ki Yeh Inayaat Hui
pyari behan k liye ...
Waqt-E-DUA Mein Ek DUA Karun
Main RAB-E MOHAMMAD Se Ek Iltija Karun
Tu Khush Rahe
Tu Shaad Rahe
Teray DIL Ka Aangan Abaad Rahe
Tu Her Pal Yunhi Hansa Kare
Tu Phoolon Ki Manind Khila Kare
Teri Zindagi Mein Koi Ghum Na Ho
Teri Aankh Kabhi Num Na Ho
Tujhe Kisi Se Koi Gila Na Ho
Koi Dukh Tujhe Mila Na Ho
Teri RADD Kabhi DUA Na Ho
Teray LAB Pe Koi Sada Na Ho
Tujhay Bin
Mangay WO ATAA Karay
Teri Maaf Har Ek Khata Karay
(Aameen)
good share shan
aww shweet
meky bhaio ko yehan share krni chaiey na
نہ جانے ہم کہاں گم ہو چکے ہیں ....
جو ممکن ہو -- تو ہم کو ڈهونڈ لاٶ ...
Kal tumhari yaad aayi thi bahut……
Udaasion ki shaam chaayi thi bahut……
Koi nahi tha kareeb mere…..
Sihaayion ne tha mujhe ghere…..
Socha kutch baat karoon….
Vo halki si awaz sunoon….
baat karke dil halka ho jaata hai…..
Kya ye rishta yunhi ban jaata hai…..
Koi to kaaran hoga jo mili mujhe aisi behan…..
awaaz se bikhar jaata hai udaasion ka chaman….
Ek pyari si gudiya ki tarah hai jo….
Mere dil ka nayab tukda hai vo…..
baton pe rooth jaati hai…..
Ek dastak pe sab bhool, maan jaati hai…..
Par na jaane kal kya hua tha…..
gum lahoo mein ghul raha tha….
Phir socha, kyun karoon behan ko tang…..
Uski khushiyaan hi to hain teri bhi umang….
Kaha, bahut khushnaseeb hai tu AMAN…..
Jo mila Saccha Pyar tujhe Roop ke sang…..
Jaane kyun Kal tumhari yaad aayi thi bahut……
Shaayad, Udaasion ki shaam chaayi thi bahut……
kabhi main nay na soocha tha key
itna piyar meri zindagi main rang bhar dayga
mujhay thi kab khaber tum meri duniya main youn aoogi
mujhay is khoobsorat pak rshtay say milaoogi
yaqeeen kab tha kay is jug main
jahan her soo diloon main nafratoon key bar ley ker
jhoote chahray muskuratay hain
andheeroon ko barhatay hain
wahan tum is muqadas piyar key rishtay ki shama ko jalaoogi
mujhay sach say milaoogi
Meri behna
Khuda tum ko wo tabeerain ata kerday
key jin k khuwab tum chupkay say tanhai main bunti hoo
ye duniya khoobsorat pak jazboon say
usi tarah say saj jayee
key jesay sochti hoo tum
teri duniya main meri jaan
kabhi ik pal ko na aye
koi ahsaas khoonay ka
kisi shay k na hoonay ka
Meri behna
tera her roop sukh ka hoo
sakoon hoo zindagi teri
kahii.N ik pal na dukh ka hoo
Meri behna
kabhi soocha na tha main is tarah ki nazm likhoonga
kathin hay marhala
jazbooon ko lafzoon main samoonay ka
mujhay ahsaas hay apnay qalam ki baybasi ka
per.....meray tootay say lafzoon ko
zara lub say ada kerdoo
inhain choo ker meri behna
zara jeewan ata kerdoo