kaise kahe ke tujhse humey pyar ab nahi
kyun kar bataye tere talabgaar ab nahi

khoon-e-jigar se seencha tha jis gulastaan ko
aj is chaman me rehne k haqdaar hum nahi

har dum hi batein sunte the meri jo shuak se
fariyad meri sunne ko tayyar ab nahi

charche bohat the inki wafa ke jahaan me
hum bewafa hai woo bhi wafadar ab nahi

wo jab gaya tou dil ka sukoon bhi chala gaya
ay dil na bekaar hi dildaar ab nahi

humne wafa ke naam pe khud ko diya fareeb
kaise kahe yeh khud ko gunehgaar ab nahi

kismat ke agey humney tou sar j\ko jhuka diya
ay zindagi gila nahi takraar ab nahi

hai ab hamari zindagi bewajah dostou
gul ki na baat kijiye gulzaar ab nahi