Awesome Sharing
Ghabrati tadapti hoon roti hon si hoon
phir apne hi chehre ko hairat se me takti hon
ya zist masayb ka behta huwa dariya hai
aur me is dariya ki dam todhti machli hoon
hai kaun yaha mera jo mujhko manayega
me rooth ti hon khud hi aur khud hi behalti hoon
aasan nahi mujhko itna bhi samajh lena
me ek maii hoon me ek paheli hoon
me ek haqiqat hon samjho to samajh aaye
na koi maii hoon na koi paheli hoon
koi na mera humdum koi na mera mohnis
me aj bhi duniya me tanha hon aklei hoon
kal haske guzari hai saaye me hawadas ke
aj apne hi saaye se ghabrati hon darti hoon
rangat pe nahi jaoo mehsoos karo khushbu
me dard ke aagan ki berang ek kali hoon
taqdeer ki likhkhe k khayal tou hou me lekin
rekha hi nahi jisme me aysi hateli hoon
jab shaam dhale duniya bahar ko nikalti hai
chupke se dabey paaw me khudme utarti hoon
phir deer talak mujh par aalam wo guzarta hai
jeeti hoon na marti hoon marti hoon na jeeti hoon
wk hook si uthti hai dil doob sa jata hai
sankrant k aalam me barzakh sa guzarta hai
phir tootne lagta hau yeh sara badan mera
phir sath badan k me khu tootne lagti hoon
phir +++++ne lagta hai umeed ka daman bhi
umed ka daman phir ++++ bhi deti hoon
Awesome Sharing
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
thanks guys.......
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
thanks.. arslan
nicee.
thanks nazzzzzzzz