atish e Hijraan Mein Saya Na Sada Teray Baad
Kitney Tanha Hain Teray Aabla Pa Teray Baad


Koii Paighaam Na Dildaar - Nawa Teray Baad
Khaak Uraatii Hoi Guzri Hai Saba Teray Baad


Lab Pey Eik Harf e Talab Tha Na Raha Teray Baad
Dil Mein Taseer Ki Khwaahish Na Dua Teray Baad


Aks o Aaiyena Mein Rabt Ho Gaya Teray Baad
Hum To Phirtey Hain Khud Sey Khafa Teray Baad


Dhoop Aariz Ki Na Zulfon Ki Ghata Teray Baad
Hijr Ki Rut Hai Keh Habs Kii Fiza Teray Baad


Liye Phirti Hai Sar e Koo e Jafa Teray Baad
Parcham e Tar Garebaan Ko Hawa Teray Baad


Pairhan Apna Salamat Na Qaba Teray Baad
Bas Wohi Hum Wohi Sehra Ki Rida Teray Baad


Nikhat o Ney Hai Naa Dast e Qazaa Teray Baad
Shakh e Jaan Par Koi Ghuncha Na Khila Teray Baad


Dil Na Mehtaab Sey Uljha Na Jala Teray Baad
Aik Jugnoo Tha Chup Chap Bujha Teray Baad


Kon Se Rangon Key Bhanwar, Kaisi Hina Teray Baad
Apna Hi Khoon Apnii Hathailii Pey Saja Teray Baad


Dard Seenay Main Hua Noha-Sara Teray Baad
Dil Ki Dharkan Hai Keh Matam Ki Sada Teray Baad


Aik Hum Hain Keh Be Barg o Nawa Teray Baad
Warna Aabaad Hai Eik Khalq e Khuda Teray Baad


Eik Qyamat Ki Kharashain Meray Chehrey Pe Sajien
Eik Mehshar Meray Ander Sey Utha Teray Baad


Tujh Sey Bichra To Murjha Key Hawa Burd Hua
Kon Daita Hai Mujhey Khilney Ki Dua Teray Baad


Aey Flak Naaz Meri Khaak Nasheeni Teri Bakhshish
Main Ney Mitti Pey Tera Naam Likha Teray Baad


To Keh Simta To Rag e Jaan Ki Hadon Mein Simta
Main Key Bikhra To Samaita Na Gaya Teray Baad


Milney Waaley Kai Mafhoom Pehan Kar Aaye
Koi Chehra Bhi Na Aankhon Ne Parha Teray Baad


Bujhey Jatey Hain Khad o Khaal Manaazir Afaq
Phelta Jata Hai Khwaahish Ka Khala Teray Baad


Yeh Alag Baat Key Afsha Na Hua Too Warna
Main Ney Kitna Tujhey Mehsoos Kiya Teray Baad


Meri Dukhtii Hoii Aankhon Sey Gawaahii Laina
Main Ney Socha Tujhey Apney Sey Siwa Teray Baad


Seh Liya Dil Ney Teray Baad Malamat Ka Azaab
Warna Chubti Hai Rag e Jaan Mein Hawa Teray Baad