Paras
Umera Ahmed k Novel "Peer-e-Kamil" Se "Rishtay" par iqtibas !!!!!!!!!
zindagi mai hum kabhi na kabhi aisay muqam per aajatay hai jahan saray rishtay khatam hujatay hai .waha sirf hum hutay hai aur Allah huta hai koi "Maa" "baap" koi "BEHEN" "bahi" ,koi dost nahi huta .phir humain pata chalta hai hai key humaray pairo key neechay zameen hai na humaray ser key oper koi aasmaan ,bus sirf aik Allah hai ju humain es khila mai bhi thamay huain hai,phir humain pata chalta hai hum zameen per pari matti key dhair mai aik zaray ya darakt per lagay aik pattay sey ziada uqaat nahi rakhtay,phir pata chalta hai key, humaray hunay ya na hunay sey sirf humain farq perta hai ,sirf humara kirdar khattam hujata hai ,kaynaat mai koi tabdilli nahi aati kissi cheez per koi asar nahi perta.
Barbie Doll Jiya
RISHTEY JO KABHI KHUDA NAY PYAAR SE BANAYE THAY ,JIN MEIN KABHI PYAAR THA ITEFAQ THA,EK DUJAY PAY JAAN NISAR KARNAY KA JAZBA THA.RISHTEY JO KABHI JUDA NAHI HOTAY THAY,JIN KI BUNHYAAD SIRF PYAAR THI.....RISHTEY JO KABHI APNE THAY ,ROSHNI THAY ,JIN MEIN GAROOOR NA THA SIRF SUKOON THA SUROOR THA JI QARRAR THAY...JO JEEWAN THAY KABHI...AAJ WOHI AJNABHI HO CHUKEIN HAIN ,RISHTEY CHAHYEH MAA BAAP KAY HON YA ULLAD KAY YA BEHAN BHAI KAY AAJ EN MEIN SE KOI EK DUJAY KA NAHI...AAJ SUB JUDA HAIN AUR NAFRAT KARTAY HAIN EK DUJAY SE ,TOLERATE NAHI KARTAY ....EK DUJAY KA SAATH GAWARA NAHI KARTAY WOH RISHTEY JO KABHI SAATH SAATH REITHAY THAY.....MEIN NAY DEIKHA HAI RISHTON KO BADALTAY HUAY MIAN BEWAFI KAY RISTAY KO ,DOSTON KAY RISHTEY KO, BEHAN BHAI KAY RISHTEY KO ,ULAAD AUR MA BAAB KAY RISHTEY KO DEIKH HAI UJARTAY HUAY,JUDA HOTAY HUAY,BARBAAD HOTAY HUAY.KABHI YEAHI THAY WOH JO JIND JAAN THA ,ZNIDAGI THAY ,YEAHI RISHTAY THAY JO AAJ BIKHAR GAYE HAIN AJNABI HO GAYE HAI JUDA HO GAYE HAIN .YEAHI RISHTAY HAIN JIN MEIN KRAB DIKHTA THA KABHI MAGAR AAJ EN MEIN NA ITEFAAQ HAI,NA DOSTI HAI ,NA PYAAR HAI AUR NA HEE AAJ EN MEIN RAB DIKHTA HAI !!!!!!!
AAJ WAQT KAY SAATH SAATH HAR EK RISHTA BADAL GAYA HAI !!!!
Samra Ijaz
From Rishtoan Ka Dard