Asalam.o.ALaikum
3 members ne participate kiya hai.
Jo Iqtibas Aap ko pasand aye usay vote dey ...Apni sharing ko vote nhi day skty...
Polling 28 Jan ko close ho gi ...
Asalam.o.ALaikum
3 members ne participate kiya hai.
Jo Iqtibas Aap ko pasand aye usay vote dey ...Apni sharing ko vote nhi day skty...
Polling 28 Jan ko close ho gi ...
Paras
Umera Ahmed k Novel "Peer-e-Kamil" Se "Rishtay" par iqtibas !!!!!!!!!
zindagi mai hum kabhi na kabhi aisay muqam per aajatay hai jahan saray rishtay khatam hujatay hai .waha sirf hum hutay hai aur Allah huta hai koi "Maa" "baap" koi "BEHEN" "bahi" ,koi dost nahi huta .phir humain pata chalta hai hai key humaray pairo key neechay zameen hai na humaray ser key oper koi aasmaan ,bus sirf aik Allah hai ju humain es khila mai bhi thamay huain hai,phir humain pata chalta hai hum zameen per pari matti key dhair mai aik zaray ya darakt per lagay aik pattay sey ziada uqaat nahi rakhtay,phir pata chalta hai key, humaray hunay ya na hunay sey sirf humain farq perta hai ,sirf humara kirdar khattam hujata hai ,kaynaat mai koi tabdilli nahi aati kissi cheez per koi asar nahi perta.
Barbie Doll Jiya
RISHTEY JO KABHI KHUDA NAY PYAAR SE BANAYE THAY ,JIN MEIN KABHI PYAAR THA ITEFAQ THA,EK DUJAY PAY JAAN NISAR KARNAY KA JAZBA THA.RISHTEY JO KABHI JUDA NAHI HOTAY THAY,JIN KI BUNHYAAD SIRF PYAAR THI.....RISHTEY JO KABHI APNE THAY ,ROSHNI THAY ,JIN MEIN GAROOOR NA THA SIRF SUKOON THA SUROOR THA JI QARRAR THAY...JO JEEWAN THAY KABHI...AAJ WOHI AJNABHI HO CHUKEIN HAIN ,RISHTEY CHAHYEH MAA BAAP KAY HON YA ULLAD KAY YA BEHAN BHAI KAY AAJ EN MEIN SE KOI EK DUJAY KA NAHI...AAJ SUB JUDA HAIN AUR NAFRAT KARTAY HAIN EK DUJAY SE ,TOLERATE NAHI KARTAY ....EK DUJAY KA SAATH GAWARA NAHI KARTAY WOH RISHTEY JO KABHI SAATH SAATH REITHAY THAY.....MEIN NAY DEIKHA HAI RISHTON KO BADALTAY HUAY MIAN BEWAFI KAY RISTAY KO ,DOSTON KAY RISHTEY KO, BEHAN BHAI KAY RISHTEY KO ,ULAAD AUR MA BAAB KAY RISHTEY KO DEIKH HAI UJARTAY HUAY,JUDA HOTAY HUAY,BARBAAD HOTAY HUAY.KABHI YEAHI THAY WOH JO JIND JAAN THA ,ZNIDAGI THAY ,YEAHI RISHTAY THAY JO AAJ BIKHAR GAYE HAIN AJNABI HO GAYE HAI JUDA HO GAYE HAIN .YEAHI RISHTAY HAIN JIN MEIN KRAB DIKHTA THA KABHI MAGAR AAJ EN MEIN NA ITEFAAQ HAI,NA DOSTI HAI ,NA PYAAR HAI AUR NA HEE AAJ EN MEIN RAB DIKHTA HAI !!!!!!!
AAJ WAQT KAY SAATH SAATH HAR EK RISHTA BADAL GAYA HAI !!!!
Samra Ijaz
From Rishtoan Ka Dard
naz
Dunya k kisi mazhab nae Aurat ko wo muqaam nahi diya Jis sey Mazhab e Islaam nae Aurat ko sarfaraaz kiya hai.Hazrat Mohammad (SAW) nay jis mu,ashray mein aankh kholi woh aik bigra hua mu,ashra tha.jis ka muaashratii nizaam khas tour par barbaadi k dahanay par khara tha.Iss mua,sharti nizaam mein sab se mazloom aur pisey huey logon mein ghulaam , londiyan aur aurtein sar e fehrist theen.ghulaam aur londiyan apne malik k rehm o karam par hotey thay.woh na sirf onn ko tarah tarah ki aziyatein day sakta tha balkeh agar unhein qatal bhi kar deta tu koi uss se baazpurs karnay wala na tha.Aurat Maa'n .. Behen ... Bivi ... aur beti ...apni har hesiyat mein mazloom aur aur kuchley huey logon mein shamil thi.Woh na sirf warasat mein jaeidaad ki tarah taqseem hoti thi. balkeh ba'z auqaat peida hote hi zameen mein gaar di jati.App(SAW) iss mazloom tabqa k liye ba'as-e rahmat sabat huey.Na sirf qoul se balkeh apne amal se aik aisa mua,shra tashkeel diya k jis mein Aurat ko uss ka sahee muqaam dilwaya .Uss ko har heisiyat mein itna mu'tabar kiya k
Maa'n ... k qadmon mein Jannat
Bivi ... ko ghar ki malika
Behen ... ko sarapa-e-duaa
aur
Beti ... ko Jannat dilwanay ka zaria qaraar diya.
Aurat majmooa hai 4 huroof ka
Ain .. Iffat
Wa'o ... Wafaa
Ray ... Rahat
Tay ...Taqaddus
logon ki nazar mein lafz "Aurat" hamesha hi mutna'zey raha hai.kuchh logon ki nazar mein tu Aurat inhi 4 khususiyaat ka majmooaa hai ...
yanii k Aurat ...
Farishta hai ...
peikar-e iffat-hai ...
Wafaa ki tasweer hai ...
Belous jazbon ki ameen hai
magar har cheez k 2 roop hotay hain .chunacheh doosri taraf
isii Iffat o wafaa ki devi ko
Nagan ...
harjaee ...
Aurat ki aurat dushman ...
buraee ka sarchashma ...
aur najane kia kuchh kaha jata hai.
Agar mujh se poochho tu ...
Aurat ki zaat wajah--taskeen hai...
Woh bahut achhi masheer hai...
shohar ki behtareen rafeeq hai...
Oulaad k liye madr-e-meherbaan hai...
Aiy Aurat teri azmat ko Salaam k tere beshumaar roop hain...
Aur tou apne har roop ko bakhoobi nibhana jaanti hai...
Tou hi tuu iss kaeinaat ki shuh'ba hai...
Yeh ghar aur yeh dharti tere mamnoon-e-ehsaan hain.
k tere baghair inn ka nazaam chal nahi sakta.
Yeh ka,enaat jab tak baqi hai tab tak aurat iss mein qous-o-qazaa k rang bharti rahey gee k iss nay apney wajood se dunya mein ujala karnay ko sitaron ki aurhni aurh rakhi hai.
voted
Voted
Voted.
Ye zindgi ke mele duniya main kem na honge
afsos hum na honge.
Last edited by R. M. Dixit; 23-01-2010 at 07:09 PM.
voted.
voted