KHUD HI TU NE BUJHA DIYA
Tere naam ki thee jo roshni usay khud hi tu ne bujha diya,
Na jala saki jisay dhoop usey chandni ne jala diya,
Main hoon gardishon mein ghira hua mujhe app apni khabar nhin,
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usay raston mein ganwa diya,
Jisay tu ne samjha raqeeb tha wohi shakhs tera naseeb tha,
Tere haath ki wo lakeer tha usey haath se hee mita diya,
Mujhe ishq hai ke janoon hai abhi faisla hee na ho saka,
Mera naam zeenat_e_dasht tha mujhe aandhiyon ne mita diya,
Ye udaasiyon ka jamaal hai ke hamara ooj_e_kamaal hai,
Kabhi zaat se be chhupa liya kabhi shehar bhar ko bata diya,
Meri umar ka abhi gulistaan khulla hua zaroor hai,
Wo phool thay teri chaah ke unhein mausmon ne gira diya,