Hello Guy ,
Sheezad Miyan aapka pura kalam
Urdu main hai, afsos hum ko nahin read
ker sakte. Koi baat nahin. Shukriya
Gudnite.
for Sharing.
Hello Guy ,
Sheezad Miyan aapka pura kalam
Urdu main hai, afsos hum ko nahin read
ker sakte. Koi baat nahin. Shukriya
Gudnite.
for Sharing.
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
Mohabbat Ki Yeh Hi Tareef Hai Ke..........
Azal se hai mohabbat mawara lafzoon ki mala se
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch ke akash par badal ki surat mein,
Sada parwaz karti hai
Kabhi barish ki boondoon mein simat kar dil ki dharti per
Utarti hai........bikharti hai
Ada le ker saba se yeh,gulaboon se mehek le ker
Dhanak se rang le ker aor sitaroon se chamak le ker
Haseen anchal banati hai
Issi aanchal se phir khawaboon ke kache ghar sajati hai
Mohabbat azmaati hai
Kabhi yeh sher ban ker lafz ki hurmat barhati hai
Kabhi yeh saaz ban ker dheere dheere gungunnati hai
Sarapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko pa ker
Anokha lams ban jati hai yeh koye yaar mein ja ker
Na jane koun sa manter yeh parh ker hole hole se
Kissi ki band palkoon mein bina dastak diye yak dum
Utar ker ghar banati ......mohabbat muskarati hai
Yeh khushboo hai hamesha phool ki saansoo mein hoti hai
Bana de chand ,teera shub ko jo yeh aisa moti hai
Kasak hai daimi iss mein bohat benaam lazat hai
Mohabbat ki yeh hi tareef hai ke yeh mohabbat hai.
zaburdast janab
Hi Sheezad Miyan,
Bahut bahut sukriya aapne
hamare khatir Roman main Mohabbat ke
bare main haqiqat bayan ki. Hamara to
dil khush ker diya aur lajawab ho gaye.
Very excellent and factual description
of Mohabbat you have made. Heartiest
Congratulation. Mohabbat ke bare main
Old Shayers , Galib, Mir, Jauk, Jafer,
Dag, Jiger, Firaq, Ahmed Faraz, Katil
Shifai vagehron khoob likha hai.
"Mohabbat zinda rehti hai, Mohabbatmer nahin sakti. Aji duniya se kya, ye
Khuda se bhi der nahin sakti." Iske
bare main aapne bahut acha bayan
kiya uske liye Janab ek baar aur
shukriya. Hav nice day.
Last edited by R. M. Dixit; 18-01-2010 at 06:57 AM. Reason: Correction
bohat umda poetery