Mujhe wo door apne se kabhi hone nahi deta
Woh meri neend ka dushman mujhe sone nahi deta

Woh jis se piyaar hota hai wo hi hum ko rulata hai
Jo hum se piyaar kerta hai humein rone nahi deta

Yeh sach hai mein zamane se alag gum sum sa rehta hoon
Magar mein aap ko aankhoon se gum hone nahi deta

Bicharte waqt tum ne yeh kaha tha hans k ji lena
Tumhara bereham wada mujhe rone nahi deta

Ajab ik kashmakash mein uss ne mujhe daal rakha hai
Wo mera hai magar mujhe apna hone nahi deta.

Zamane se alag sab se chupa ker dil mein rakha hai
Khazana aap ki yadoon ka mein khone nahi deta

Khuda ne khuch na khuch mutrib hamare bus mein rakha hai
Magar wo apni marzi k bina hone nahi deta.