View Poll Results: Cast Ur Votes

Voters
7. You may not vote on this poll
  • Hijab

    3 42.86%
  • Ali_

    1 14.29%
  • ♥Haya♥

    1 14.29%
  • insh

    2 28.57%
Results 1 to 7 of 7

Thread: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    Asalam.o.ALaikum

    4 members ne participate kiya hai.

    Jis ka likha Aap ko pasand aye usay vote dey ...Apni sharing ko vote nhi day skty...


    Is Tasver per Paragraph Likhey Gaye.


    23rjqs2 - Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010




    Polling 28 March ko close ho gi ...

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    Hijab



    Mein aj bhi uni rahon mein khari hoon jahan per tum se bichri thi. Asman aaj bhi unhi siah udas badlon mein ghira hua hai jin mein us din ghira tha. Is rah ke shajar aaj bhi usi taran bain kertay hai, jaisay hamari judai ki ghariyon mein kiye thay.Mere haton mein tumhare pasandeeda safaid pholon ka guldasta bhi abhi tak nahi murjhaya. Is ki sehar-angaiz mehka se aaj bhi mera roum roum mehk raha hai. Mere hathon per tumhare haton ka lams aaj bhi zinda hai, jo pal pal mujhe tumhare honay ka pata deta hai.Jatay samay tum ne mere bhikray gesyon ko apnay hathon se sanwara tha. Meri ankhon se behtay ashkon ko apni ungliyon ki poro per puraya tha, aur kaha tha, "in ankhon mein anso mat anay dena, in mein mere khawab parona, meri yaad ke deep jalana, mere intizar kerna,".Aur mein aaj tak tumharelehjay ki ghambeerta aur tumhare lafzon ki chashni mein gum hoon.
    Mein tou yeh bhi bhool gaye hoon ke mere thikana kahan hai.Mujhe wapis bhi jana hai.

    Mujhe tou yeh ehsah tak nahi hota ke mera wajood bhikar raha hai.
    Mere ankhon se behtay askh manjmind ho gaye hein. Intizar ki shama
    bujh rahi hai, dharkan rukti jaa rahi hai. Yeh zalam hawa teri mehak
    bhi mujh se cheen rahi hai, mujhe bay-nishan ker rahi hai. Mujhe lamha
    lamha mar rahi hai.Mein tou aaj bhi uni lafzon mein khoye hoon, jo tum ne mujh se kahay thay.Faqt usi jumlay mein uljhi hoon, jo akhri baar tum ne apnay labon
    se nahi apni ankhon se kaha tha aur woh meri rooh mein utra tha.
    "Mein tum se bichar raha hoon, juda nahi ho raha, mera intizar
    kerna!"



    Ali_



    sapno ki in galiyoon mein khoo janya ko dil ker raha hai
    zindagi hum sya khfa hai phir bhi iss ko mananya ko dil ker raha hai
    jab bhi in rahoon ko dekhti hoon
    kuch pa janya ka ehsas hota
    ore jism ko cho ker guzarnya wali hawa
    uss kiya sath guzarya howay har paal ka ehsas karti hai
    kabhi to loot ker aao giya yeh dil kehta hai
    lagta hai inhi rahoon ko dekhtya hamri jane nikal jani hai.

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    ♥Haya♥


    Mere Mehboob tum se bichhar kr rangeen mausam b khofanak ho gia hai,
    wohi hn badal whi hn rahen,whi hai mausam,mgr gr tum nai ho to sub veran hai..
    mujh birhan k sath badal b tum se judai k dukh me matmi (siah)ho gaye hn,
    rahen b veran ho gai hn,mere veran dil ki tarah.
    heer khushi mujhe dasti hai,
    her mehfal se bhagti hu,
    her rangeeni buri lagti hai,
    daikho her rah,her badal,ye nazare,ye phool pode,ye sabza,sub pukar pukar kr mujh se phooch rhe hn k tumhara sajan kab aye ga?kab tum muskrao gay?kab tum hamare sang phir se khilkhilao gay?hum taras gaye tumhari hansi daikhne ko,hum her roz tumhare sajan k ane ki dua krte hn,
    main kuch nai keh pati...bus khali nazron se in khali rahon me kharri dekhe jati hun...
    dil he dil me amen kehti rhti hun...



    insh


    Kia koe yu bhee juda hoa ho ga...! us ki har ada sab se alag the mujhai yaad hai jub woh mare zindagi main aaya tha to kitne rang the mujhai yaad hai tum ne mujhai Laal rang k bohat sare gulaab dea thay laal rang jo pyar ka rang hai to aaj...to aaj pher yeh tum ne mujhai phool dea hai lakin in pholoon ka rang ......in ka rang kahan gaya yeh to sufaaid hai to kia..tumhari chahat bhee khatam ho gae mare kaan tumhari awaz sun rae hain mare aankhain tumhare laboon ko dekh eahe hain jo humari judai ka elan kar rae hai lakin mujhai yaqeen q nae...han mujhai tumhari aankho per yaqeen hai jin main hamesha mare muhabbat the lakin aaj.....aaj tumhari aankhain bilkul khali hain kahan gaay sab payar?
    Bas ab main un rahoo per bilkul tanha hoon jahan kabhee tumhare saath the aaj yeh rasta kitna weraan hai mare dil ki tarha yeh parenday ghar laout rahay hain aur main ...mare to manzil he khoo gae ...........
    main akaile tanhaa sadyoo k safar main apni manzil ki talash main hoon.........

  4. #4
    Join Date
    Dec 2009
    Location
    SAb Kya Dil Mein
    Posts
    12,694
    Mentioned
    1006 Post(s)
    Tagged
    2307 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    voted





  5. #5
    Join Date
    Nov 2009
    Location
    karachi
    Posts
    13,250
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    Voted
    rain?t1311176404 - Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010


    Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
    Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

    Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
    Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad




  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,948
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010

    voted /up

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Urdu Adab Competition March 2010


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •