Originally Posted by
LoRD
walykumasslam
well, yeh depend karta hai k apko us se muhabbat thi ya nahi,
lakin Atif (LoRD) toh accept keray ga coz Atif us se muhabbat karta hai.
1. Muhabbat ki nahi jati ho jati hai.
2. Muhabbat k liye koi shart nahi hoti
3. Muhabbat be laos hoti hai aur be laos nahi hoti
4. Muhabbat khatam nahi hoti
pahli baat muhabbat ki nahi jati , muhabbat khud se hoti hai , yeh bas Allah ki tarf se hota hai k Allah kisi banday ki muhabbat dil mein daal deta hai. isi liye yeh itni powerful hoti hai. agar banda khud apni marzi se muhabbat karay toh wo long lasting nahi hoti jaldi khatam ho jati hai.
2nd k muhabbat k liye koi shart nahi hoti matlab koi aisi reason nahi hoti k banda keh sakay k mein is wajah se us se muhabbat karta hoon, muhabbat ho toh us ki her baat achi he lagti hai, agr muhabbat karnay ki koi reason ho toh wesi muhabbat toh tab tak he hogi na jab tak wo reason qaim hai , ager us banday mein wo cheez i mean wo reason khatam ho jaye toh kia muhabbat khatam ho jaye gi? nahh
3rd muhabbat be laus hoti hai , is k return mein kuch manga nahi jata matlab return mein kuch expect nahi kia jata. bohat se loag kehtay aisa he hain k muhabbat be laus hoti hai lakin wo return mein b muhabbat mangtay hain aur agr muhabbat nahi milti toh usi ko bura bhala kehtay hain jis se unhein muhabbat kartay hain mujhay bohat ghussa ata hai yeh sun ker even aisi poetry b boht buri lagti hai jis mein mehboob ko bura bhala kaha jata hai . like . . . tu ne meri zindagi barbad ki teri b berbad ho khuda karay etc ..
HATE it.
agar aisa ho k aap kisi se muhabbat kartay ho aur wo aap ko dhoka de jaye jesay loag kehtay hain, toh aap us k against ho jatay ho aur badla lene par uter aatay ho , aisay mein jo aap ne us se kaha tha "i love u n wil always DO" yeh baat kahan gai?? aap ki yeh muhabbat kahan gai matlab. ?? agar wo kuch bura karta hai aap k saath toh yeh us ka amal hai , coz wo aisa he hai. aur jab aapko muhabbat hui thi us se wo ab b aisa he tha.
aur muhabbat be laos nahi b hoti coz aap kisi se muhabbat kartay ho toh us k return mein aap ko jo mil raha hota hai wo hai khushi aur skoon. aur agar aapko wo chor k jata hai toh kiu k muhabbat kam nahi hoti isi liye yeh khushi aur skoon b milta rehta hai usay yaad ker k.
matlab agar aap ko kisi se muhabbat hai toh wo aap ko chor kar chala jata hai toh is mein us ka kia qasoor ??? usay aap se muhabbat nahi hogi, matlab aap mein he koi kami ho gi na jo wo aap ko chor gia, usay muhabbat hoti toh wo na chor k jata.
ok, wo wapis a jata hai kuch time k baad, toh yeh question he nahi peda hota k aap usay accept karo gay ya nahi
coz aap toh us se muhabbat kartay ho na , ofcourse aap accept he karo gay usay 2nd baat toh sochi he nahi ja sakti.
matlab jo aap us se muhabbat kartay ho apki is muhabbat per koi farq nahi parta k agla banda kesa hai, wo chor k jata hai ya wapis ata hai , ya us ko aap se muhabbat hai ya nahi hai ya kitni hai , nahh
aur mera man'na hai yeh b k banday ki nature kabhi change nahi hoti , banda jesa hota hai wesa he rehta hai hmesha.
4.
last but not least, muhabbat khatam nahi ho sakti.
kiu k yeh kisi pe depend nahi karti, like halaat, situations , circumstances. nahhh
bus mein aisay he sochta hoon.