shukar hai mujhay angraizi nahi ati warna mushkil ho jata khud ko qaboo main rakhna aur sath sath yeh bhi buhat acha kia app nai k hamain yeh keh diya k jawab zayada say zayada lamba ho ... woh kia hai na k hamain aur koi too kaam hota ahi nahi waila banda yehi dhondh raha hota hai k akhir chawal marain too marain kahan ... aur aik app hain k khud hi chalay aye wese main yeh bata don k main yahan kabhi kbahi hi ata hon yeh sachii dosti ki achi kismat hai warna hamain jhailna in k buss ki baat hi kahan ... is baat ki tasdeek Naaz aur mojoda Jerry buhat hi tafseel say kar sakti hain ... main yahan pata nahi kitna porana hon ... par lagta hi nahi mujhay k main porana hon ... kiyon k porana hon jo nahi ... agar app ko meri baat samajh main nahi arahi hai too ghabrana nahi yahin par parhna band karoo aur uth kar jaoo pani pee kar ajaoo ... haaan too agaye na .. ghabrahat main kami hoi hogi paani peenay k baad ... wese pani zayada peena chahiye ... us k buhat say faiday .. faiday main bataon ga nahi kiyon k is kaam k liye Hakeem baithay hain un ko kharcha pani do aur maloomat hasil karoo akhir unki bhi roozi roti ka sawal hia na ... aur baqi rahi baat k bhai jawab zayada hona chahiye too app nai bataya hi nahi k kitna bara jawab hona chahiye ... kiyon k hamain naaap tool kar jawab daina acha lagta hai ... ab masla yeh hai k hamain khud bhi samajh main nahi araha hai k itna jawab kafi ahi ya aur likhain wese likhnay main hamain koi paraishani nahi hai siwayee is k ... k bijli na chali jayeee.. ab itni mehnat say itna sab kuch likhnay k baad bijli chali jaye too soochain bijli ghar walon par too itna ghussa nahi ayega jitna app par ayega k hamain kis kaam par laga diya ... laikin yeh bhi hai k apki kismat achi hai k hamaray pass bijli janay ka time nahi howa hai ... aur janay main taqreeban abhi 4 ghantay baqi hain ... wese apas ki baat hai jitna maza likhnay main ata hai us say zayada maza parhnay main ata hai ... kiyon k banday ko pata hi nahi chalta k woh kia parh raha hai aur kab say parh raha hai aur main jo likh raha hon yeh parhnay k baad too yaqeenan app ka emaan taza hojayega aur yeh khayal dil main zaror ayega k ayenda koi sawal nahi poochain gay ya phir kam az kam poochnay k baad yeh zaror likhain gai k iska jawab Mr.Bean na dey ... masla yeh nahi hai k app k sawal main masla tha masla yeh hai k masla mere daftar main hai k yahan koi kaam hi nahi hota ab main kia karon ittefaqan app k dhagay par nazar par gayi aur ittefaq par ittefaq yeh k main jawab dainay bhi agaya aur ab kia karain likhna too hai na akhir app ka hukum hia usay bhi nahi taaal saktay ... acha woh sab too theek hai batain too hoti hi rahain gi app apni kuch sunayen na hum bhi janna chahtay hain kuch app k baray main